Email Id Kaise Banate Hai Google par

Share:
Email id kaise banate hai google gmail par.

google gamil account id kaise banaye in hindi


Jab se internet ka janm hua hai tab se email ka bhi upyog badh raha hai. aur aage bhi yah bahut jyada badhne wala hai. aaj Email ka use utna hi jaruri hai jitna aapke liye ek mobile jaruri hai.


Email kya hai ? what is email :-

Email yani Electronic mail . email ke madhyam se ham duniya me kahi bhi koi bhi computer, mobile par bahut hi kam samay me  koi bhi messages,files,documents aasani se bhej sakte hai.

. Email bhejne ke liye aapke paas ek email id hona jaruri hai. aur dusra jis par aapko bhejna hai uska email id aapko maalum hona chahiye.

Email id kaise banaye :-

Bahut si company hai jo email service deti hai jinme se pramukh hai.
.Rediff mail 
.Hotmail
.Yahoo mail . aur
.Google  

Inme se ham google par email account banane ke bare me janenge yane ke gmail par .

Gmail par hi id kyo banaye?

Google par id is liye banaye kyonki yah sabse best popular safe,secure,easy and sabse jada use kiya jane wala site hai. iske alawa aap google par email id banakar iske bahut se service par ek hi id se aasani se log in kar sakte hai jaise :- 

Gmail//Playstore/Youtube/Google map/Google drive/Adsense/Blogger.

to chaliye ab dekhte hai ki gmail id kaise banate hai.

Gmail Id/ Account kaise Banaye:-

Gmail id banane ke liye steps folow kijiye...

STEP - 1   Sabse pahle aap koi bhi internet browser open karle jaise google chrome.


open chrome browser


STEP - 2   Ab search baar me gmail type kare aur niche scroll down kar google gmail ki site par click kare.

Type gmail and click gmail website


STEP - 3    Gmail ki site par aane ke baad aapko yaha par sign in par click karna hai.

sign in par click kare


 Step - 4  Yaha create account par click kare. - yaha khud ke liye bana rahe hai ya dusre ke liye bhi. jo kisi vaykti ke naam par ho to fir myself par click kare. agar kisi business ke liye bana rahe hai. to manage my business par click kare. yaha mai khud ke liye bana raha hu to mai myself par click karunga.


 Step - 5  Create your google account
Continue to gamil - yaha par aapko apni ya jis person ke liye bana rahe hai  uski kuch normal details bharni hai. jo is tarah se bhare :-

  1   Name - First me apna name enter kare.

  2   Surname - yaha surname likhe jo name ke baad use kiya jata hai.

   3   Username - Yaha par username automatacally dikha dega. niche available me 3 alalg-alalg tarah ke username aur honge. to aap inme se koi bhi username rakh sakte hai. aap chahe to naya bhi bana sakte hai. 

username me aap  aisa name choose kare jo pahle se kisi ka na ho
isme aap apna name and surname milakar bhi bana sakte hai lekin agar aapke name se pahle koi id ban chuki ho to aap  apne username me kuch changes karke bhi bana sakte hai. username jo banega wahi aapki email address hogi.


is username ko hamesha yaad rakhna hoga. kyoki jab bhi aap gamil par log in karenge to yahi username daalna hoga.

   4   Password - Use 8 or more characters with a mix of letters, numbers, & symbols.
password me aap minimum 8 words use kar sakte hai. lekin aap aisa password banaye jo 10 words se adhik ho . jise koi aasani se pata na  laga sake ya hack na kar sake. ek strong password banane ke liye aap password me letters,numbers, and symbols ka istemal kare  .Jaise - [email protected]# aur password aisa banaye jo aasani se yaad bhi rahe kyonki gmail account ko open karne ke liye gamail address ke sath password enter karna hota hai.
 
   5   Confirm - Upar jo aapne password daala hai usko yaha par bhi daalna hai.

  6    Next - Ab next par click kare

account create karne ke liye apni details feel kare


Step - 7 

  1   Phone number (optional) - yaha par mobile number enter kare. mo. no. wahi use kare jo active ho band wala no. na dale. waise yah optional hai. aap chahe to chhod bhi sakte hai. lekin mo. no.daalte hai to isse aapke gmail ki sequrity ko badha sakte hai.

  2   Recovery email address (optional) - agar aapke paas koi dusra email address hai to yaha enter kar sakte hai. nahi to chhod de.

  3   Date of Birth - Apna janm din , mahina , saal year enter aur select kare.

  7   Gender - Isme aap boy hai to male select kare aur girl ke liye female.

  8   Next - Ab next par click kare

mo number date of birth gender select kar next par click kare


 STEP - 8   Verify your phone number -

agar mobile number enter kiye the to ab use verify karna hoga. aap ise not now par click karke baad me bhi kar skate hai. lekin abhi karle to jyada accha hai.

Send - abhi verify karne ke liye send par click kare.
enter verification code - ab aapke phone number par google ke dwara 6 digit ka verification code bheja jayega. code ke liye apne phone ke message inbox me jaye. aur 6 digit code copy ya note karle aur yaha enter kare.
verify - ab verify par click kare.


first click send now secod enter verification code


 Step - Get more from your number -
if you like you can add your phone number to your accoun for use accross google services.

agar aap apne phone number ko google ke sabhi service me use karna chahte hai. to yes I'm in par click kare. aur nahi karna chahte to skip par click kare. mere hisab se aapko yes i'm in par click karna chahiye.


click yes im in


 Step - 11  Privacy and terms - yaha par google ki privacy and terms ko padh sakte hai. agar aap google ki nayam sharte mante hai. to is page ke niche jaye aur i agree par click kare.


i agree par click kare

 

 STEP - 12   To ab aapka google gmail account successfully create ho chuka hai. hamne gmail account browser par banaya tha. to yaha par option aa raha hai ki gmail ko web version me use karna chahte hai ya gmail app par.

to aapke phone me gmail ka app hai aur usme chalana chahte hai to aap open the gmail app par click kar sakte hai. ya browser me use karna chahte hai to use the web version me click kare.


use web version or gmail app. gmail interface view


Ab aap gmail ke home page par aa jayenge . yaha se gamil ko use kar payenge. jaise mail bhejna mail padhna aadi. abhi google ke taraf se ek mail aaya hoga jo new gmail id banane par sabhi ko aata hai. jise aap padh bhi sakte hai. yah ek welcome mail hota hai. first time id banate hai uske liye google send karta hai.

Ye bhi padhe :

1.Google gmail id par profile photo upload kaise kare

2.Facebook par account ya id kaise banate hai hai

3.Whatsapp Par New ID Ya Account Kaise Banaye Whatsapp Download Kaise Kare

Tags :
mobile me gmail id kaise banaye
mobile se email id kaise banaye
email id banana hai mujhe
new google account kaise banaye
create new email account in hindi
create gmail account
phone me email id kaise banaye

email id kaise banaye hindi mai

No comments