In this post ham aapko batane wale hai. whatsapp kya hai. whatsapp download kaise kare. whatsapp id ya account kaise banaye. whatsapp ka use kaise kare. how to create an account on whatsapp. how to download whatsapp.
Whatsapp messenger ko 2009 me Brian Acton and Jan Koum ne banaya tha. jo dekhte hi dekhte yah aaj itna popular ho gaya hai ki iske users google play store par 5billion yani 5Arab se bhi jyada hogaya hai. aur yah sankhya aage bhi badhne wali hai. whatsapp ko facebook inc. ne 19 february 2014 ko khareed liya tha. jo ab facebook ke under me chal rahi hai.
Whatsapp kya hai
(what is whatsapp)
Whatsapp american proprietary cross platform instant messaging software, social networking app hai. jaha par ham kewal internet shulk se hi is app se bina koi dusri kharch ke free message, photos, videos, bhejne aur video call, audio call karne jaisi suvidha ka labh utha sakte hai.
Whatsapp ne sms karne ke tarike ko puri tarah se badal kar rakh diya hai. kuch salon pahle log text message ke jariye sms kiya karte the. jisme ek recharge par ek suvidha milti thi. jiska price bhi kafi costly hota tha. lekin whatsapp ke aane se ab lagbhag text message ka chalan bahut kam ho gaya hai. kyonki whatsapp me aapko kewal internet recharge me hi sms, photos, videos, document send karne and video call, audio calling ki suvidha ek hi jagah uplabdh ho jati hai.
1.Whatsapp me number kaise save kare? व्हाट्सएप में नम्बर कैसे जोड़े
2.Whatsapp पर photo कैसे भेजे दुसरो को
ये भी पढ़े :
|
2.Whatsapp पर photo कैसे भेजे दुसरो को
Whatsapp app download kaise kare.
(how to download whatsapp messenger)
whatsapp filhaal har mobile ke liye har operating system me available hai. Jaise :- iOS/Android/Blackberry OS/Blackberry10/Windows phone/Nokia series40/Symbian/Tizen/Firefox os.
Download steps :- For Android userse
- Sabse pahle aap apne phone me google play store app open kare.
- Ab google play store par whatsapp type kar search kare.
- Ab install button par click kare. Ya aap direct yaha se click karke bhi download kar sakte hai.
➦ Download Whatsapp.
2.Whatsapp के photos videos को gallery में आने से कैसे रोके या hide kare
Whatsapp Id banaye. ( Whatsapp id कैसे बनाते हैं )
Whatsapp par account banana bahut easy hai. iske liye aap apne kisi bhi mobile number ka istemal kar sakte hai. agar wah number aapke phone me maujud hai to acchi baat hai. agar dusre mobile me hai to bhi bana sakte hai. lekin wah phone aapke pass hona chahiye. kyonki whatsapp aapke number par sms ke jariye 6digit ka code bhejta hai. jise enter kar mobile number verify karna hota hai. to chaliye dekhte hai step by step.
Step - 1 First whatsapp app open kare aur Agree and Continue par click kare.
Step - 2 Ab apne phone ke contacts, photos, videos, media file ko whatsapp par access karne ke liye allow karne ko kaha jayega. to iske liye aap continue par click kar aage contacts and media file ko allow kare.
Step - 3 Ab apna mobile number enter kare jisse aap whatsapp id create karna chahte hai ab next par click kare.
Step - 4 Ab apne phone number ko verify karna hoga. agar aapko lagta hai ki number aapne galat enter kiya hai. ya change karna chahte hai. to yaha edit par click karke kar sakte hai. sab sahi hai to ok par click kare.
Step - 5 Ab aapke mobile number par 6 digit ka code aaya hoga use yaha enter kar verify kare. agar phone me wah number hai to automatic verify ho jaayega.
Step - 6 Aage aapko apna naam aur profile photo upload karne ko kaha jayega. to yaha apna name enter kar photo upload kar sakte hai. agar abhi nahi karna chahte to next par click kare.
To ab aapka whatsapp account id ban chuka hai. niche aap image me dekh sakte hai. whatsapp account create hone ke baad kaisa dikhega.
Ab aap apne friend ko invite karne ya unka already hai. to search ke option se apne dost ka mobile number enter kare ya unka naam type karenge to unka profile dikhai dega. fir us par click kar chatting, photos videos share and whatsapp audio, video calling kar sakte hai.
ये भी पढ़े :
|
To friends yaha hamne whatsapp ki choti si jankari jisme whatsapp kya hai, whatsapp account kaise banaye, whatsapp app download kaise kare ke bare me bataya agar aapko whatsapp ki aur jankari chahiye to comment karke puch sakte hai. aur is article ko apne friends ke sath share kare.
व्हाट्सएप आईडी बनाने का तरीका आप वीडियो में भी देख सकते है.
No comments