Facebook par account ya id kaise banate hai

Share:

facebook account new id create hand mobile icon

Sabse pahle ham ye jaan lete hai ki facebook kya hai aur ise kisne banaya?


Facebook duniya ka sabse jyada use kiya jaane wala most popular social networking site hai. facebook se ham apne relatives,family,friends se jude rahte hai. jaha par ham apni activities share karte hai aur dusro ki activities dekh sakte hai. 

Facebook ko year 2004 me america ke mark zuckerberg ne banaya . jo aaj world ke sabse richest man ki list top 10 me shamil ho gaye hai. to ab aap ye soch sakte hai ki facebook kitna popular hai. 

Ek baat aur shayad aap nahi jaante honge ki facebook ke success ke piche india ka bhi hath hai kyoki sabse jyada user india se hai. to ye to hui facebook ke bare me ab ham janenge ki facebook account kaise banate hai.


Naya facebook account kaise banaye (फेसबुक पर नया अकाउंट कैसे बनाएं) 

 step-1  Sabse pahle aap apne mobile me koi bhi internet browser open karle jaise google chrome, firefox etc.

open chrome browser


Step - 2 Ab google par search bar me type kare facebook. aur search result me facebook ki link par click kare.

type facebook and click fb url



Step - 3   Ab create new account par click par.

click create new account


Step - 4 What's your name? - Enter the name you in real life
First name - first apna name enter kare
Surname - yaha apna surname enter kare
Next - aur next par click kare

enter first name and surname and click next


Step - 4 What's your date of birth?
choose your date of birth. you can always make this private later.
Birthday - first - apna birth date choose kare, second - apna birth month select kare, third - apna birth year select kare.
Next - ab next par click kare.

enter your date of birth and click next


 Step - 5  Enter your phone number - enter the mobile number on which you can be contacted. you can hide this from your profile later.
Phone number - yaha apna mobile number enter kare. dhyan rahe jo mobile no. aap enter kar rahe hai wo pahle se kisi bhi dusre facebook id use na kiya gaya ho.

enter your phone number


Step - 6 What's you gender? - you can change who sees your gender on your profile later
yaha apna gender select kare jaise boy hai to male, girl hai to female ya other ke liye custom choode kare. aur next par click kare

select your gender and click next


Step - 7 Choose a password - create a password with at least 6 characters. it should be something that others couldn't guess.
New password - password minimum 6 character ka banaye jisme words, numbers, symbol ka use kare jaise :- like37? password me mobile number ya date of birth ka use na kare. password aisa banaye jo thoda difficult ho aur aapko yaad rakhne me aasan ho.
Sign up - ab sign up par click kare.

create new password and click sign up

 Step - 8  Log in with one tap - save your log in info to make logging in even easier.
yaha aap ok ya not now par click kar sakte hai.

click not now or ok

Step - 8 Confirm your account -
yaha par account confirm karne ke liye 2 option milte hai
first hai - whatsapp
second hai - text message
jo mobile number aapne use kiya hai aur usi number par whatsapp account hai. to aap 5 digit code ke liye watsapp ka option bhi choose kar sakte hai.

ya fir usi number par simple text message chahte hai. to second wale option par click kare.
Enter code - apne mobile ke inbox me jaye waha 5 digit ka code aaya hoga. jaise - FB-76230 to isme 76230 ko yaha khali box me enter karna hai. agar aap code enter nahi karna chahte to inbox me aaye hue code ke niche link hoga uspar click karke bhi account confirm kar sakte hai.

enter 5digit otp and click confirm

see your fb 5digit code in message box your phone

To ab aapka facebook account successfully cfreate ho chuka hai. aage aap apne friend, family circle ko jinka fb par account ho unhe friend request bhej sakte hai. aur unka accept kar sakte hai.

Ye bhi padhe:-

No comments