Google account gmail me profile photo kaise lagaye

Share:
Gmail jise google account bhi kaha jata hai. yah google ka email service hai. jaha par mail send and receive karne ke sath aur bhi chijo me kaam aata hai. waise to internet par bahut si email provide karne wali services hai. lekin unme gmail sabse popular aur most uses mail service hai. jiska upyog lagbhag har internet user karta hai.

gmail par photo kaise lagaye


Agar aap smartphone+internet use karte hai, to aapka gmail account hona comman si baat hai. kyonki aaj google ki ek se badhkar ek service hai. jisme aap kisi na kisi ka use karte hi honge. chahe wah play store ho, ya youtube, google drive, google map, ya fir koi aur. to inka istemal karne ke liye aapke paas ek gmail account hona jaruri hai. ek hi gmail id se aap google ke sabhi service ko access kar sakte hai.

To yaha kahne ka matlab yahi hai ki, gmail internet par istemal hone wali bahut si service ke liye upyog hota hai. chahe wah wah google ki service ho ya other. to un service me log gmail hi sabse jyada use karte hai. to aapke paas bhi google account hai, aur us par apna photo lagana chahte hai. to yaha mai uska full process bata raha hu.


Mobile Se Gmail Par Photo Kaise Lagaye



Step - 1 Sabse pahle aap apne mobile phone me gmail app ko open karle. agar yah app aapke phone me nahi hai to android users google play store se install karle aur iphone users app store se istall kar sakte hai, ya fir aap niche diye diye hue link par bhi click kar sakte hai.

mobile se gmail me profile photo kaise lagaye






Step - 2 Ab app ko open kare iske baad got it par click kare, fir agle option me first time ko open karne par, aapke phone me jo pahle se gmail log in hoga uski list aa jayegi, agar gamil log in nahi to pahle aap add another email address par click kar aage apna gmail address aur uska password daalkar log in kar sakte hai.


Aur agar log in hai to aap take me to gmail par click kare


Gmail me profile photo kaise lagaye




Step - 3 Yaha Ab aap mail wale section par aa jayenge to yaha par aap right side me upar jo aapka name ka first latter likha hoga uspar click kare.

Gmail google account par profile kaise lagaye




Step - 4  Yaha par aapke phone me jitne bhi gmail id log in honge un sabhi ki list hogi to aap jis gmail par profile photo lagane chahte hai uspar click kare, aur koi dusra gmail ko add karna chahte hai to add another account par click karke kar sakte hai.

To ab profile photo lagane ke liye aapko Google Account likha hoga uspar click kare

gmail app se profile photo lagane ke tarike




Step - 5 Ab yaha par aapke name ka first latter likha hoga uspar click kare

How to upload photo in gmail account




Step - 6  Ab set profile photo par click kare

gmail account me photo kaise lagaye




Step - 7 Set Profile Photo - yaha par photo lagane ke liye 2 option milte hai. first hai take photo ispar click karke aap apne mobile ke camere se turant photo click kar upload kar sakte hai, aur dusra hai choose photo to yaha se click kar apne phone ke gallery se koi bhi photo ko upload kar sakte hai.

Take photo or choose photo par click kare



To choose photo se upload karne ke liye ispar click kare fir apne phone ke gallery se up photo par click kare jise upload karna hai. 

Mobile phone ki gallery se kisi bhi ek photo par click kare



Iske baad photo ko drag drop karke apne hisab se adjust kar sakte hai, fir accept par click kare.

photo ko adjust kare fir accept par click kare



Step - 8 To ab aapka profile photo gmail me successfully add ho jayege jaisa ki pic lagne ke baad is tarah se dikhai dega jaise niche screen shot me dekh sakte hai. 

Profile photo lagne ke baad is tarah se dikhai dega




Computer Laptop Me Gmail Account Me Photo Kaise Lagaye


Agar aap computer ya laptop par gmail account me profile photo lagana chahte hai, to iska bhi process kafi aasani hai, to chaliye aage aapko bata rahe ki computer pc laptop par gmail id me photo kaise lagaye.

 Step - 1  Sabse aap apne gmail ko computer me log in karle agar pahle se nahi hai to. log in karne ke liye aapko gmail ki site par jana hoga fir apna gmail address enter karna hai, fir uska password enter kare. iske baad aap log in ho jayenge.


 Step - 2  Log in hone ke baad yaha par bhi right side me upar ki taraf aapke naam ka ya gmail me jo address ka first word hoga wo likha hoga jispar aapko click karna hai.

Uske baad aapko camera wala icon hoga uspar click karna hai.

computer me gmail id par profile pic kaise lagaye





 Step - 3  Iske baad add profile photo par click kare.

computer laptop par gmail me photo kaise lagaye



 Step - 4   Ab aage photo lagane ke liye 3 option honge - 

1. Google photo -  yaha photo joki aapke mobile ke google photo apps se connect hota hai, to usme aapka koi photo hai jise aap upload karna chahte hai to is wale option ka use kar sakte hai.

2. Upload - Is option se aap apne computer laptop me rakhe apne kisi bhi photo ko gmail id par laga sakte hai.

3. Camera - Is wale option se aap turant apne laptop ya pc me camera diya hoga usse photo click kar upload kar sakte hai.

To aap inme se kisi bhi option se photo gmail par set kar sakte hai to yaha par mai aapko upload wale tarike se profile picture lagane ka tarika bata raha hu, to uske liye pahle upload par click karna hai.

Upload par click kare



Step - 5 Ab yaha choose photo to upload par click kare.

Choose photo to upload par click kare



Step - 6   Ab apne computer laptop ke us folder me jaye jaha par aapka photo hoga aur uspar click kar open kare.

Step - 7  Ab yaha se apne photo ko drag drop kar adjust kar sakte hai ya crop kar sakte hai apne hisab se. fir save as profile picture par click kare.

Photo ko adjust kar save as profile picture par click kare



Step - 8  Ab got it par click kare , iske baad successfully apka photo gmail profile photo me uplaod ho jayega.

Got it par click kare




To friends google gmail id par profile photo set karne ka yah tarika aapko kaisa laga hame comment karke jarur bataye. and share this post

No comments