How to download youtube video in mobile: Internet par online video dekhne ke liye youtube sabse popular site hai. youtube par kisi bhi type ke video search kar dekh sakte hai. iske alawa youtube par aap apne video bhi upload kar unhe duniya ke sath share kar sakte hai.
Par ye to hui youtube par video dekhne ki lekin agar hame youtube par koi video pasand aaye aur ham use download karna chahe to nahi kar payenge. kyoki youtube ne iske liye koi sidha option nahi diya hai.
Kuch samay pahle google play store par bahut si application thi jisse youtube ke video aasani se download kiya ja sakta tha lekin ab wah play store se hata diya gaya hai. halaki un apps ko unki official website se download kar use kar sakte hai. lekin yaha mai aapko kisi bhi tarah ke other app download karne ke bare me nahi bata raha hu.
is tarike me aap apne mobile par pahle se available internet browser se hi. youtube ke koi bhi video ko kisi bhi quality me save kar sakte hai. aur yah tarika computer laptop par bhi work karta ha.
Youtube se video download kaise kare gallery me
Step 1 Sabse pahle aap apne mobile par koi bhi internet browser jaise google chrome, firefox, uc browser , opera mini me google par youtube search kar site par jaye. dhyan rahe aapko youtube ke application par nahi jana hai.
agar browser me youtube ki site link open karne par youtube application par redirect ho jate hai to pahle mobile ke setting par jaye aur youtube app ko desable karde.
agar browser me youtube ki site link open karne par youtube application par redirect ho jate hai to pahle mobile ke setting par jaye aur youtube app ko desable karde.
Step 2 Youtube ki site par jane ke baad aap jis video ko download karna chahte hai wo youtube par search kare aur us video ko open kare. open hone ke baad agar video play ho jaye to use pause kar de.
Step 3 Ab aap screen ke sabse upar dekhe us video ka name hoga waha click kare.
Click karne ke baad uska link is tarah se dikhai dega.
https://m.youtube.com/watch
Step 4 Is link https://m.youtube.com/watch me aapko samne ka kewal https://m. ko hatakar waha pe ss likh de is tarah se ssyoutube.com/watch iske baad search ya go par click kare.
Step 5 Ab ek new page khulega yaha pe download karne ka option aa jayega aapko jis quality formate me download karna hai. us pe click kare ab 2 option aayenge play online and download. to aapko download par click karna hai. fir wah video download hona start ho jaayega.
Youtube se video download kaise kare pc me
Upar jo hamne method bataya hai browser wala usi tarah se aap pc me bhi karvsakte hai. jiske liye aapko apne computer laptop me koi browser jaise google chrome firefox ko open kar lena hai aur usme youtube ko search karna hai, jiske baad aapko https://www. tak hata kar ss likhkar search karna hai.
iske baad aap savfrom net ki website par chale jayenge yahan aapko kisi bhi quality par click karke us video ko download kar sakte hai. jitne adhik quality select karenge utni hi adhik file ka size hoga. par video ki quality bhi acchi hogi.
To friends aapne jana ki ham mobile se bina kisi application ya software ke youtube video download kar sakte hai. aur wo bhi aasan tarike se. to friends is trick ko apne dosto ke sath facebook , twitter , google plus .par share jarur kare taki unhe bhi is interesting trick ke bare me jankari ho.
यूट्यूब से वीडियो कैसे डाउनलोड करें |
Read This :
No comments