OTG cable se mobile ko connect kar kare 10 best work without pc

Share:

Is post me aap janenge - otg full form in hindi aur otg cable price, and uses. Abhi hum digital yug me hai Jahan manushya lagatar tarakki kar raha hai wo din bhi dur nahi rahega jab har kaam mobile se hone lagega jahan hame computer ki jarurat nahi hogi dekha jaye to abhi 50% kaam mobile se hi ho raha hai. logo ke prati mobile phone me adhik interest ko dekhte hue science lagatar mobile,smartphone se related nayi-nayi chige khoj raha hai.aur computer,smartphone se Judi hui work ko aur bhi aasan bana raha hai.

To aaj ham inhi me se related ek khas gadget ke bare me janenge jiska naam hai USB OTG cable.


connect every device with otg cable


OTG cable kya hota hai?


OTG ka full form (on the go) hai. otg ek chote size ka mini usb cable/connecter hai. jiske do bhag bote hai. otg ke pahle bhag ko ham mobile ke charging wale slot se connect karte hai. aur jo dusra bhag hota hai. usme jo device hum connect karna chahte hai wo is bhag se jodenge.

OTG ko ham supported device par hi use kar sakte hai. aapka device otg supported hai ya nahi yah janna chahte hai to. apne mobile phone ka naam aur model number likhkar google par search kare. aur apne phone ka full detail check kare. detail me dekhenge waha par OTG - YES karke likha hoga to aapka phone otg supported hai.


OTG cable price


Abhi otg cable alag-alag type ke aane lage hai, jisme cable aur non-cable dono ho sakta hai. to aapko kaun sa pasand hai wo deside kar kharid sakte hai, jo aapko market aur online website se mil jayega
ek badhiya usb otg cable aapko 150-200 rupaye ke bich mil jayega.


OTG cable ka kya fayda hai (otg cable uses in hindi)


  #1     Smarphone ko keyboard aur mouse se operate kare:- 

OTG cable ka yah ek khas features ho sakta hai. bahut log typing to sikhna chahte hai. par unke paas computer nahi hota. to ab aap otg ki madad se computer keyboard ko apne android ya kisi bhi otg supported device se connect kar aasani se typing kar sakte hai. lekin aapka keyboard usb port wala hona chahiye. iske alawa aap blogging mobile se karte hai. to yah bhi ek achha way ho sakta hai. sath hi aap computer mouse ko bhi jod kar mobile ke sabhi option aasani se operate kar sakte hai.

  #2     Mobile ko hard disk se jodna:-


Apne portable hard disk ko usb otg cable ki sahayta se connect kar. hard disk ya mobile phone ka data/file transfer kar sakte hai.

  #3    Mobile phone ko printer se connect karna:-


OTG cable ka yah features bhi sabse khas ho sakta hai. ismen aap without computer ke apne mobile me available jaruri document/file ko printer se connect kar. printouts nikal sakte hai waise abhi jyadatar mobile me print ka option hota hai. agar aapke smartphone me yah option nahi hai to aap printshare app install karke yah kaam kar sakte hai.

  #4    Pendrive/card reader ka use:-


Agar aapke paas computer nahi hai to bhi aap without PC ke apna pendrive/card reader ka use OTG(on-the-go) cable ke jariye Android mobile par access kar sakte hai.


  #5     Ek phone se dusre phone ko charge karna:-


Otg cable ke through aap ek smartphone se dusre smartphone ko charge kar sakte hai. isme aap dusre device ko powerbank ki tarah istemal kar sakte hai. jisme aapko otg cable ke alawa data cable ki bhi jarurat padegi. fir aap kahi bahar ho aur aapka battery low ho jaye. to aap dusre ka mobile phone connect kar charge kar sakte hai.

  #6    USB/DSLR camera operate karna:-


OTG ki madad se usb supported ya DSLR camera ko apne smartphone se connect kar aasani se operate kar sakte hai. aur usi time camera se liya gaya photo/videos turant apne mobile par bhej sakte hai.

  #7    External usb light ka use:-


waise hamare smartphone me pahle se internal flashlight/torch hota hai. iske alawa aap bahar se bhi usb light connect kar sakte hai. jo aapko market se mil jaayega.

  #8      Music instrument/keyboard ka use:-


Jo log music,songs ke diwane hai unke liye yah ek badhiya tarika ho sakta hai. isme aap music se related instrument jaise~ guitar, music keyboard jo usb port wale ho uska use aap apne smartphone se connect kar use kar sakte hai.

  #9    USB game controller/joystick ki madad se phone par game khelna:-


Android smartphone ke liye ek se badke ek game available hai. par unme se bhi best game hote hai. jise screen touch kar khelne me kafi muskil hota hai. to iska bhi solution ab market me aa chuka hai. yani usb game controller/joystick ki madad se bina screen touch kiye game khel sakte hai.

  #10      LAN cable ka use:-


Agar aap high speed internet apne smartphone par chalana chahte. Aur aapke pass pc ya wifi router nahi hai.to aap usb lan cable phone se connect kar internet chala sakte hai....!


ये भी पढ़े :

1.Pendrive ko apne computer pc ka external ram kaise banaye

5.Android mobile phone se delete hue data file restore kaise kare without pc


Tags:
otg full form in hindi
otg full form in english
otg ka full form in hindi
otg cable price
otg cable full form name
o.t.g. ka pura name
how to use otg in hindi
otg cable ke fayde

2 comments:

  1. Give some details about Lan connection

    ReplyDelete
  2. LAN ka full form hai (local area network) jo ek limited area me kaam karta hai. example :- WiFi,Ethernet. Jo aap bahut si jagah par iska upyog dekh sakte hai. jaise - internet cafe, house, school/college, office, business etc.

    ReplyDelete