Is post me ham aapko batane ja rahe hai mobile ka delete data recover kaise kare 2022. Aise bahut se mobile users hai jinke pas computer nahi hota ve apne jaruri documents, data, file mobile par hi store karke rakhte hai. unke liye wah data bahut hi important hota hai. lekin wah data kabhi galti se delete ho jaye to bahut bura lagta hai. ek bar jo file mobile se delete ho jaye wah dobara bhi laya ja sakta hai. jiske liye aapko computer ki jarurat nahi padti.
To aapka bhi jaruri data by mistake delete ho gaya hai, aur aap internet par iske bare me saerch kar rahe hai ki, डिलीट फाइल रिकवर कैसे करे, delete video wapas kaise laye in hindi ya delete photo wapas kaise laye in hindi. to aapke sabhi problem ka solution aaj ke is post me hai. android mobile phone se kisi bhi tarah ke delete hue data/file ko without pc ke recover karne ke liye apne mobile me ek application install karna hoga.
Delete Data Ko Kaise Recover Kare 2022 (मोबाइल का डिलीट डाटा रिकवर कैसे करे)
Yaha par ham aapko kuch apps ke bare me batayenge jisse aap apne mobile se delete hue kisi bhi tarah ke data file ko aasani se wapas la sakte hai, jaise video, photo, audio file, document file, contacts, call logs. sms, whatsapp etc. to ek tarah se hum in apps ki help se kisi bhi tarah ke data ko recover kar sakte hai.
Method - 1 Google Photos Apps Se Delete Data Recover Kaise Kare
To pahla jo tarika hai wah google photos app ka hai, to kafi log is app ka use karte honge joki yah google ka hi service hai, to is app ka use karte samay aapke phone se koi photo video delete ho gaya hai, to aap us data ko dobara se recover kar sakte hai jiske liye niche bataye hue steps ko follow kare.
- First aap google photos app ko open kare.
- Ab app me niche library ka option hoga jispar click kare.
- Ab yaha par trash likha hoga jispar click kare.
- Iske baad jobhi deleted photo ya video honge wo yaha par dikhai denge.
- Ab use restore karne ke liye kuch second press karke rakhe, ab jin file ko wapas lana chahte hai use one by one select kare.
- Iske baad niche restore likha hoga uspar click kare.
- Ab aapke sabhi data file wapas gallery me aa jayenge.
Google photos app download kare
Agar aapke phone me google photos app nahi hai to aap ise download karke rakh akte hai, joki yah app video photos dekhne ke kaam ayega sath hi, agar waha se koi bhi data delete ho jata hai to wah aasani se wapas bhi aa jata hai.
Yaha se click karke Google photos app android ke liye download kar sakte hai
Google photo app se aap kewal photos aur videos hi wapas la sakte hai, aur wo bhi isi app se delete hua hoga tab. agar aapko dusre type ke data recover karna hai to niche second method ko follow kare.
File Manager Se Delete Data Kaise Laye (मेमोरी कार्ड से डिलीट डाटा रिकवरी सॉफ्टवेयर)
Step - 1 Sabse pahle aapko apne mobile me EaseUS MobiSaver app ko download karna hoga.
Step - 2 Ab app ko open kare aur agree par click kare.
Step -3 Ab app ke home page par bahut sare data recovery options diye honge jaise photo & video, sms, contacts, call log, whatsapp, aur sd card. to aapko jo bhi delete data wapas lana hai us option par click kare jaise yahan mujhe photos and video recover karna hai to mai is option par click kiya.
Step - 4 Iske baad scanning hona start ho jayega, isme thoda samay lag sakta hai, jitne adhik data aapke phone se delete hue honge, to utne hi jyada time lagega, iske baad scan completed ka message show karega. aur niche me kitne video aur photo recover hue hai wo likha hoga. ab ok par click karde
Step - 5 Ab yaha par upar me photos likha hoga to aapko niche me delete hue sabhi photos dikhai denge, aur upar me hi videos likha hoga jispar click karenge to delete hue sabhi video dikhai denge. to ab aapko apne photo aur video ko wapas phone me lane ke liye one by one select kare.
Data ko select karne ke baad upar me recover likha hoga uspar click karna hai. iske baad select kiye hue photo ya video recover ho jayenge, jise aap apne phone ke file manager me jakar dekh sakte hai.
Note - Is app me aap kewal 20 data file hi per day recover kar sakte hai. agar aapko ek hi din me unlimited data recover karna hai, to is app ka plan purchase karna hoga.
ये भी पढ़े :
1.Android mobile se computer pc laptop me internet kaise chalaye 3 best tarike
2.अपने Android phone का pattern, password भूल गये तो ऐसे करें unlock 2 methods
3.Screen shot kaise le android mobile phone me 2 best tarike
4.Android Mobile में data cut, copy, paste कैसे करे in hindi
To friends mobile se delete video wapas kaise laye, ya gallery se delete video wapas kaise laye. ki yah jankari aapko kaisa laga hame comment karke jarur bataye. and post ko share jarur kare.
Maine galti se hi dumpster se hi recycle bin se photo video delete ho gye hai mujhe bahut bura lg rha hai dumpster ki madad se maine bahut sare photo video restore kr liye uske liye maine 850 rupees pay b kiye pr ab usme sare photo video lg rha galti se mujhe delete ho gye please help me mai kya kru mujhe btaye
ReplyDeleteaap dumpster app se contact kijiye, agar dumpster se delete hua hai to
DeleteAapko agar laptop se delete photo kaise recover kare iske baare me janakri chahiye to ise padh sakte hain |
ReplyDeletesd
ReplyDelete