Pendrive ko computer pc ka ram kaise banaye windows 7,8,10,11

Share:
Pendrive ko ram kaise banaye computer laptop ka: Computer ek electronic device hai. jo bahut se upyogi hardware&software se milkar bana hota hai. ek computer ke liye software jitna jaruri hai. usse badkar hardware jaruri hota hai. waise computer different type ke hardware se milkar bana hota hai. jisme har hardware(parts) ka apna ek role hota hai

Jisme se ek hai RAM. ram ka full form (random access memory) hai. computer par ham jitne bhi software, application, games install aur use karte hai. wah RAM ke jariye hi access hota. computer par jitna jyada ram ki storage capacity hogi. utne hi jyada aap software, games use kar payenge. aur computer ki speed bhi bahut jyada hogi.


Pendrive ko apne computer pc ka external ram kaise banaye


Kabhi-kabhi aapne dekha hoga computer par koi heavy software, games use karte samay wah ruk jata hai. ya bahut slow work karta hai. aur hang hone jaisi samasya bhi aati hai. to yah sab problem computer ram kam hona aur jarurat se jyada software install aur run karne se yah problem hoti hai.
Agar aapka bhi computer slow kaam karta hai. aur uski ram bhi kam hai. to ab aap apne pendrive ko hi external RAM banakar computer ki speed badha sakte hai. halaki isse aapke computer ki internal ram ki capacity nahi badhegi. lekin aapka pc pahle se acche speed se work karega.


Pendrive ko computer ka RAM kaise banaye

apne pendrive ko pc me ram ki tarah use karne se pahle usme se sabhi files ko delete ya format karle.


Step - 1

  • Sabse pahle aap apne pendrive ko computer ke usb port wale hisse se connect kare.




Step - 2
  • Ab my computer se apne pendrive par mouse se right click kare.aur sabse niche properties par click kare.
Pendrive ko computer pc ka ram kaise banaye windows 7
Step - 3

Ab aapke pendrive ka properties open hoga jisme kuch settings karne honge.
  1. Ready boost par jaye.
  2. Use this device select kare. (yaha par jitna bhi MB pahle se hai utna hi rahne de ise kam jyada na kare).
  3. Apply par click kare.
  4. Ab ok button press kare.
Pendrive ko computer pc ka ram kaise banaye windows 10

Finally ab aapka pendrive computer ka external ram ban chuka hai. ab apne computer par koi bhi kaam kare wah pahle se accha speed work karega.

NOTE :- Apne pendrive ko ram banane ke baad use aise hi nahi nikal sakte. agar nikaloge to wah koi kaam ka nahi rahega. nikalne se pahle aap jo step follow kiye hai. use off kar de .


पेनड्राइव को कंप्यूटर लैपटॉप का रैम कैसे बनाये video

To is tarah se aap apne pendrive ko computer ka ram bana sakte hai. aur uski speed pahle se badha sakte hai.

Tags:
how to convert pendrive to ram in windows 10
how to use pendrive as ram in windows 10
how to use pendrive as ram for gaming
pen drive
how to increase ram in laptop using pendrive in windows 10
does using pendrive as ram really help
can we use pen drive as ram

2 comments: