Mobile se google map par missing address kaise dale in hindi

Share:

Google map me apna address kaise dale: Internet se Judi hui lagbhag har badi services par google hi top me hai. jiska log sabse jyada use karte hai. jaise google ka search engine jo world me sabse jyada use hone wala search engine hai. iske alawa google ki aur bhi badi services hai. jiska upyog lagbhag har internet user karta hai.
Jaise:-

Youtube / google chrome/ gmail / google translate / google drive / blogger / google AdSense / aur google map.


Ye sabhi services google ki top services me se ek hai. jiska world me sabse jyada use hota hai.
to aaj ham inhi top services me se ek google map ke bare me janenge. aapne google map ka naam to suna hi hoga aur sayad use bhi kiya hoga. agar aap nahi jaante ki google map kya hai. aur iska upyog kaise karte hai. और गूगल मैप में एड्रेस कैसे डालते है. to mai aapko yaha par sabhi chige bata raha hu. how to add my shop on google map in hindi.

google maps on enter your address place

Google map kya hai?

Google Map jo naam se hi samajh me aata hai. yani ki google manchitra. google map par pure world ka naksha, manchitra add hota hai. jo satellite se connected rahta hai. google map ka website aur application hai. jisse hum online internet ke jariye use kar sakte hai. is par ham duniya ke kisi bhi jagah ko ghar baithe dekh sakte hai. Jaise school, college, ghar, office, road, factories, nadi talab, samudra. etc.


Google map ke kya-kya fayde hai:-

  1. Google map ki help se hum world ke kisi bhi place ko ghar baithe online dekh sakte hai.
  2. Agar aap kahi anjaan jagah par safar kar rahe hai. aur aapko uska rasta nahi pata. to aap google map ki madad se bahut hi aasani se raasta pata karte hue us jagah tak pahuch sakte hai.
  3. Google map ki help se aap kisi bhi jagah par jane se pahle. us jagah ki location track karne. aur us jagah par pahunchne me kitna samay lagega. aur kitna k/m duri hoga ye bhi dekh sakte hai.
  4. Aap driving karte hue apna live position dekh sakte hai. ki aap kaha par hai. kon se raste me hai. aur kaun sa street aapko shortcut padega.
  5. Bina internet ke bhi aap google map ka use kar sakte hai. iske liye aapko jis jagah ka map dekhna hai. us area ke map ko pahle download karna hoga. fir aap kabhi bhi offline dekh sakte hai.
  6. Apne nearest bank, ATM, railway station, airport, school, college, ka name type kar aasani se location pata kar sakte hai.
  7. Google map ke jariye hi aap online taxi book karne. and city bus ki jaankari le sakte hai.
  8. Aap kahi aise jagah par ja rahe hai. jis raste ko aap dobara bhi yaad rakhna chahte hai. to aap us ki puri history nikal kar dekh sakte hai. ki aap kin-kin rasto se gaye hai.
  9. Aap apne city ke kisi bhi jagah ke traffic ka halchal dekh sakte hai. ki kis jagah par kitna traffic hai. aur kon sa road khali hai.


Mobile से  गूगल मैप पर अपनी लोकेशन कैसे डाले:-


Agar aap chahte hai ki aapke village ya sahar ka koi jagah google map par dikhni chahiye. jo google map par abhi tak submit nahi kiya gaya hai. to yah kaam aap khud se bhi kar sakte hai. iske alawa aap apne ghar ka address. ya office. ya fir apne dukan ka pata google map par daalna chahte hai. to yah bhi asaani se aap apne Android smartphone ki help se kar sakte hai.

Google map par location kaise add kare in hindi


Mobile se google map par apna address dalne ke liye aapke phone me google map ki application hona chahiye. agar nahi hai to yaha se download karle. Download google maps


 Step - 1   To sabse pahle aap google maps appliaction ko open kare aur mobile ki location on karle.

 Step - 2   Google map ke app par aapka gmail id log in hona chahiye, agar nahi hai to app me right side top par profile icon par click kar apne gamil id aur password ko enter ka add kar sakte hai.

 Step - 3   Contribute - Ab app me niche ki taraf contribute likha hoga uspar click kare,
                  Add Place - Ab add place par click kare.

Contribute par click kar edit map par click kare




Add A Place - Place Details - 
Yaha Par Aapko Location Ki Details Bharna Hai


1.Place name:  Isme aap us jagah ka naam dale jise aap google map par dekhna chahte hai. jaise dukan ka name, apne ghar ka name, school, office, chowk, bhavan, ward, colony, temple etc.

2.Category:  Yaha par apna category select kare jaise mandir ke liye Hindu temple usi tarah aap school, college, office,ghar, shop ke liye bhi search kar select kar sakte hai.


3.ADDRESS:  Yaha aapka address kon se area me aata hai. apne village ya city ke sath distt,state sabhi dal sakte hai. 

4.Edit Map Location -   Uske baad niche edit map location par click kar apna location mark kare. iske liye aap us jagah ko acche se confirm karle ya fir us jagah par jakar apna location mark kare. map me ek red color kar location icon hoga to use jagah par le jakar chhode jaha aapka location hai, aap map ko zoom bhi kar sakte hai, taki wah jagah acche se dikhai de. ab upar se ok par click kare.

Apne location ki details bhare




Add More Details -

Niche aayenge to yaha par add more details par click karenge to kuch aur options dekhne ko milenge jaise hours, contact, website, about, place photo.

  • Hours - Map aapne koi shop ya koi aisi chij daale hai jiska open hone aur close hone ka time hota hai, to aap yaha hours par click kar time daal sakte hai.
  • Contact - Office, shop, clinic ya jo bhi business se related hai to aap contact number bhi yaha se daal sakte hai.
  • Website - Aapki website hai to uski link yaha se enter kar sakte hai.
  • About - Yaha se aap opening date bhi daal bhi sakte hai.
  • Place photo - Us jagah ka photo daalna chahe to yaha add photos par click kar daal sakte hai.
  • Post - Ab sabhi chije sahi se bharne ke baad niche post par click kare
Apni location se related dusri chije bhi yahan se add kar sakte hai




Iske baad thanks for sharing and helping other on google maps ka message dikhai dega. 


Note:- Google maps me aapka address submit hone me 24 se 48 hours lag sakte hai. google team aapke address ko review karega. agar aapka address correct hone ke sath-sath uski details bhi sahi hogi tabhi wah approved hoga.


Agar aap apne address me kuch sudhar karna chahte hai. contribution me jakar edit map par click karke kar sakte hai. lekin yah tabhi hoga jab aapka address approved hoga. iske alawa pahle se add kiya hua palce ka name, address, time, change kar sakte hai, iske sath hi us jagah ko map se hatana chahe to bhi yaha se kar sakte hai.

To friends google map par aap apna address dal sakte hai, wo bhi bahut hi saral tarike se jiske liye aapko kewal google map application ki jarurat padti hai. joki yah sabhi android smartphone me pahle se available hota hai.

3 comments:

  1. Usne bus station ka option Kaise Laye category mein

    ReplyDelete
  2. ggogle me meri factory location suspend ho jati hai please meri help kre my whatsapp no +919968529366

    ReplyDelete