Mobile se godaddy par domain kaise kharide | गोडैडी से डोमेन कैसे ख़रीदे

Share:

Agar aapne apna free blog blogger ya WordPress par bana liya hai. to ab jald se jald us par ek accha sa domain kharidkar add kar le. aap apni site par long time ke liye work karna chahte hai. aur internet se accha income karna chahte hai. to iske liye aapko apne blog par domain add karna hoga. ek domain hi aapke free blog ko naya look, nayi pahchan dilane aur blog par achha traffic lane ka kaam karta hai. isse pahle ki aapke blog name se koi aur domain register karle. isse accha hai. ki aaj hi aap apna domain kharidkar apne blog se jod le.

To chaliye friends domain name kya hai,aur domain name kaise kharide,aur domain add karne ke kya-kya fayde hai. in sab chijo ke bare me ham yaha par jaannenge.


Mobile se godaddy par domain kaise kharide


Domain Name Kya Hai? domain definition in hindi


Internet par kisi bhi website blog ka web address hi us site ka domain name hota hai. Jise hum yaad rakh kar us site par visit kar sakte hai. ek domain name ke jariye hi hum us website tak aasani se pahunch sakte hai. jis tarah kisi aadmi ki pahchan uske naam se hoti hai. usi tarah internet par kisi bhi website, blog ko uske domain name se pahchana jata hai. Jaise mere site ka name www.webtohindi.com hai. jise aap yaad rakh kar dobara bhi mere site par aa sakte hai.

Domain Name Kitne Types Ke Hote Hai.

Waise domain name extension bahut se aur alag-alag types ke hote hai. jo service aur country ke hisab se hote hai. jinme se top level domain aur other domain ki list is prakar hai.

  1. .Com(commercial)
  2. .Net(network)
  3. .Gov(government)
  4. .Org(organization)
  5. .Edu(education)
  6. .Info
  7. .co.in
  8. .tv
  9. .Biz
  10. .Mil
Country type domain:-
  • .In - India
  • .Us - United States Of America
  • .Ca - Canada
  • .Au - Australia
  • .Ae - United Arab Emirates


Domain name add karne ke fayde:-

  1. Free blog se blogspot hat jayega aur aapke blog ko ek naya look milega.
  2. Domain add karne ke baad aapka blog fully website ki tarah ban jayega.
  3. Koi bhi internet user free blogspot wali site se jyada ek domain wali site ko pasand karte hai. aur usi ko jyadatar log jante bhi hai.
  4. Free blog me chuki blogspot juda hota hai jisse site thoda long ho jati hai. aur visitors ko aapke site ka name yaad rakhne me thodi problem ho sakti hai. agar aap ek domain le lete hai. to isse blog name se blogspot hat jaayega aur aapki site ka name pahle se chota ho jaayega aur logo ko yaad rakhne me bhi aasani hogi.
  5. Blog me domain add karne se search engine me bhi blog ki value increase hoti hai.
  6. Isse aapke blog ki value to badhegi hi sath-sath aapke site ki traffic aur visitors bhi badhne lagenge.
  7. Agar aap internet se paise kamana chahte hai. aur apne site me 6month se pahle AdSense approve karana chahte hai. tab to ek domain aapki bahut madad karega.aur isse jaldi AdSense approve hone ke chances badh jate hai.


Domain Name Register Kaha Se Kare:-

Waise to internet par aisi bahot si website mil jaayegi jo domain bechti hai. aur apne customer ko acche-acche offers bhi provide karti hai. aaj mai unhi me se kuch popular sites ke naam aur unmen se ek sabse best site se domain register karke bhi dikhaunga.


Inme sabse accha godaddy ki site hai. aur jyadatar log isi site se domain purchase karte hai. to aaj mai aapko godaddy ki site se domain kaise kharidte hai. iske bare me bataunga.
                     
   Isme ek aur interesting chige ye hai. ki yaha par mai aapko mobile se domain register karne ka methods bataunga. waise computer par bhi yah tarika same hi hai. different ye hai. ki usme jyadatar steps ek hi page par available ho jate hai. aur wahi yah mobile me steps thode long ho jate hai. lekin tarika wahi rahta hai.

Domain kaise kharide In Hindi Mobile Se Godaddy Par 2020


Behtar parinam ke liye google chrome browser ka upyog kare

Step -1  Sabse pahle aap chrome browser ke search bar me godaddy likhkar search kare uske baad jo result aayega usme se godaddy.com url par click kare. ya niche diye hue link par bhi click kar sakte hai.

Link - godaddy.com


Step -2  godaddy domain search Ab aap godaddy ki site par chale jaayenge yaha par ek search box hoga. us box me apne blog ka name enter kar search kare.


  Check domain name availability Agar aapka domain name pahle kisi aur ne nahi kharida hoga to yaha par domain is available likha hua hoga. iska matlab aapka domain name uplabdh hai. aur is name se aap domain kharid sakte hai. aur yaha par price bhi show karega 1year ya 2year ka. agar aap 2 saal ke liye kharidte hai to discount milta hai aur 1 saal ka lete hai to thoda price jyada rahta hai. waise yah price kabhi bhi change hota rahta hai. aur offer hota hai to bahut kam bhi mil jata hai.

 Get it par click kar continue to cart par click kare


Domain name search kar got it par click kar continue to cart par click kare




 Step -3   Kuch second wait kare loading hoga. ab yaha kuch aur service kharidne ka option aayega jaise -


  • Full Doamin Protection - Is service ko agar aap lete hai to isse hackers aapke domain ko aasani se hack nahi kar payega. lekin iske liye aapko 299 rs per year alag se dene honge.
  • Ultimate Doamin Protection - Is service ko lene par aapke domain ko aur bhi security mil jati hai, sath hi ek aur benifit milta hai jisme aapke credit, debit card ya payment ke jo bhi method aap use karte hai aur expire ho jata hai to uske baad bhi 90 day ka aapko doamin renew karne ka extra time mil jata hai. lekin iske liye aapko 979 per ke dene honge.
  • No Thanks - Agar aap in dono service ko nahi lena chahte hai to no thanks par click kare, ya kisi ek ko lena chahte hai to uspar click kar sakte hai. mere khyal se agar aapke paas budget hai to full domain protection ko le sakte hai, jo 299 padega.
Yaha par no thanks par click kar sakte hai



  • Professional Email - iske niche professional email kharidne ke liye option hoga, agar aap apni site ko brand banana chahte hai ya kisi business ke upar hai, to aap apni ke name se hi professional email bana sakte hai. jiska price 29 rs month hai. agar nahi kharidna chahte to price par click karke no thanks par click karde.
  • Continue To Cart - Ab niche continue to cart par click kare.

Professional email buy nahi karne ke liye no thanks kare




Domain Year And Price 

Billing information bharne wale page ke niche jayenge to domain year 2 year likha hoga ya ho sakta hai 1 year likha ho. to aap 1 saal ke liye le rahe hai to 2year par click kar 1year ko select kare, aur 2saal ke liye rahe hai to 2year kare

domain year select kar ready to pay par click kare



Godaddy Par Apna Account Banaye


 Step -4  Ab aapko godaddy par par apna account banana hoga. jiske liye yaha par facebook, google, aur mannual account banane ka option hai. aap chahe to apne facebook ka id password dalkar bana sakte hai, usi tarah google par click karke gmail id password enter kar bana sakte hai. ya fir niche wale option se detail bharkar banaye jiska process yaha par bata raha hu -


  • Email - yaha apna koi bhi email id dale jaise gmail.
  • Username - isme koi bhi name enter kare, jo pahle se kisi aur na use kiya ho, aap name ke sath number bhi add kar sakte hai.
  • Password - isme aapko minimum 9 character ka password banana hai, jisme letter, number, symbol shamil ho.
  • Create account par click kare

Yaha apna account banaye





Billing Information Bhare

 Step - 5   yaha par aapko apna billing informatin bharna hai -


  • Country - yaha se india select kare.
  • First name - yaha apna name likhe.
  • Last name - yaha apna surname dale.
  • Primary phone - yaha apna mobile number dale.
  • Address - yaha apna pata enter kare.
  • Postal code - yaha apne post office ka code enter kare.
  • State - apna rajya select kare.
  • City - apne sahar/ district ka naam likhe.
  • Save par click kare.

Apna billing address bharkar save par click kare




Payment option select kare

 Step - 6  yaha par payment karne ke liye bahut sare option honge jaise credit card aur niche me net banking, debit cards, wallets, upi. to aap jisse payment karna chahe uspar click kare, yaha mai debit card se payment karne ka process bata raha hu, kyonki atm card sabhi ke paas available hota hai.

Complete purchase par click kare


Payment method select kar purchase kare



Debit (ATM Card) Se Payment Karne Ka Process


Step -7  Ab yaha apne debit card ki details bharni hai.
  1. Card number- isme aapke card ke upar 16 anko ka number hoga wah enter kare.
  2. Cvv - Atm card ke piche 3 digit ka Cvv number add kare.
  3. Expire date - Aapke rupay debit card ke upar hi. expire date Hhoga . month aur year select kare.
  4. Proceed button par click kare.



 Step - 8  Ab aapka jo number bank me add hoga uspar otp message(one time password) aayega. otp add kar submit par click kare. ab payment successfully ka massage show karega iska matlab aapka domain registered ho gaya hai.


webtohindi.com

In steps se aap aasani se domain kharidlenge domain registration karne ke baad domain ko blog me kaise add karte hai, yah janane ke liye aap yah post padhe -




ये भी पढ़े :

1.Mobile से blog के Domain address को बिना www के कैसे set kare

2.Blogger ki kisi bhi post me dusri post ka link(URL) kaise add kare

3.Blog में 2-3 घंटे की post को 20 minute में कैसे लिखे/type kare हिन्दी and english

TO friends aap is simple steps se apne smartphone se hi godaddy ki sites se manpasand domain kharid sakte hai. Post pasand aaye to ise social media par share jarur kare. Agar aapko post se related koi sawal hai to hame  puch sakte hai.

Tags:
godaddy domain
web domain
godaddy domain registration
domain name
domain registration india
domain name kaise banaye
domain name kaise chune
godaddy login
godaddy domain cost

6 comments:

  1. Aapne konsa template use kiya hair???

    ReplyDelete
    Replies
    1. Mai "Shouters" template use karta hu.

      Delete
    2. mujhe bhi shouter template bahut pasand hai. Lekin jab bhi ham website open karte hai tab Subscribe ka pop up open hota hai iss liye maine shouter template ko ignor kar diya. Lekin aapki Site me to pop up open nahi hua or header me Subscribe ka option hi nahi hai Aapne Kya setting kiya hai???

      Delete
    3. Maine us widget ko remove kar diya hai. aap bhi kar sakte hai layout me jaakar. jo kaam ki nahi un sab ko remove kar do.

      Delete