Blogger ki kisi bhi post me dusri post ka link(URL) kaise add kare 2023

Share:
New blog banane ke baad ham usme ache-ache post(articles) likhte hai. aur jab hamara blog purana hota jata hai. Aur usme post ki sankhya badhti Jati hai. tab hame lagta hai ki ab new post aur blog ke sabhi post main dusri post ka link add karna chahiye. aur yah bahut jaruri bhi hai.

Jab ham blogging me naye hote hai tab hame jyada kuch pata nahi hota ki kaise kya kare. lekin dheere dheere blogger par kaam karte rahe aur use achche se samjhe to sab kuch hum sikh sakte hain. aur apne blog par har wah cheeze add kar sakte hain. jo hamare website aur uske post and use padhne wale ke liye helpful ho.

Blogger post me dusri post ka link kaise lagaye1




To aaj ke is post mein hum Jannenge ki kaise blogger blog ke kisi bhi post me dusri post ka link (URL) kaise add kare aur iske kya fayde hai.


Blog ki new post me old post ka link add karne ke fayde :-


Apne website blog ko top level par pahunchane ke liye blogger her wo koshish karta hai. jo Jaroori hai aur inhi me Se ek hai. apne her post main dusri post ka link add karna. Jab Koi visitor Google par koi post search kar aapke blog par aata hai. aur aapki post read karta hai. to us post ke beech ya last me add related post ya koi aur post ka link ho jo visitor ko Achcha Lage toh wah us link par click kar aapke post Jarur padhega to isse aapke blog ki pageviews toh badhenge hi aur iske sath reader aapke site par Kafi time rukenge Jis Se aap ki site ka Bounce rate bhi thik thak rahegi Jisse blog ki ranking bhi achi Hogi.

Apne blog ke kisi bhi post ka link kaise pata kare:-


Apne blogger blog ya blogspot site ke kisi bhi site ka link(url) pata karna bahut hi easy hai. Iske liye aap.


  • Sabse pahle apne blogger me sign in kare.
  • Ab dashboard se posts par click kare.
  • Ab aapki post ki list open hogi.


To jis post ki link pata karni hai. use view ke jariye open kare. Ab apne browser ke search tab me dekhe us post ka link hoga.


Blogger post me dusri post ka link kaise add kare



Blogger post me link kaise lagaye




To is tarah se aap apne blog ke kisi bhi post ka link(URL) aasani se pata kar sakte hai. aur yahi se aapko post ka link copy kar post editor me link ke option me jaakar pest karna hai.

To chaliye yah bhi dekh lete hai. ki new post me kahi bhi other post ki link ko kaise add kare.


Post ke bich me ya kahi bhi dusri post ka link kaise add kare :-


Apne blog ke new ya old post me kahi bhi, kisi bhi jagah aur kisi bhi word me dusri post ka link ya jarurat ke hisab se kisi another site ka link add kaise kare. yah bahut hi easy hai. aur inka process bhi ek hi hai. ek karne ke baad aapko sab samajh me aa jayega.

STEP - 1


  • Apne blogger blog me log in kare.
  • Ab dashboard se posts par click kare.
  • New post ya fir existing post me add karna chahte hai. wah open kare.
  • Ab post editor open hogi, post me jaha par add karna hai us jagah par click kare
  • Ab post editor ke tool bar me se link icon par click kare.


Blog post me link add kaise kare


Upar screen shot me aap dekh sakte hai maine post ke niche me ek jagah banai hai, aur waha pe chota sa heading diya hai ye bhi padhe, aur niche me 1 number likh kar us jagah ko abhi khali chhod diya hai, joki waha pe link add hoga. to iske baad upar link icon bana hoga uspar click karna hai.


STEP - 2

Link ke option par click karne ke baad ek popup Window open hogi. jisme aapko is tarah bharna hai.

  1. Text to display:  yaha pe aapko us post ka title name enter karna hai.iske liye aap browser me new tab par apni site ki us post ko open kar title name copy kar is field me pest karde. aur us tab ko open hi rahne de.
  2. Pest or Search For a Link: Ab jo new tab aapne open karke rakhi hai usme browser ke top me search bar me us post ka link hoga use pura copy kar yaha pest karde.
  3. Open this link in a new Window: is option par tick karne ke baad jab koi visitor aapki us post ki link par click karega to wah post new Window ya new tab me open hogi. To aap yah chahte hai to is option ko select kar sakte hai. Nahi to rahne de.
  4. Add 'rel = nofollow' attribute: is option par tick karte hai to. search engine aapki us link ko index nahi karega. yani ki wah search me nahi aayega. to aap apne post me add kiye hue sabhi link ko search me nahi lana chahte to is option ko select kar sakte hai.
  5. Apply - And last apply par click karde.
Blogger me new post ka link kaise lagaye



Ab aapki link yani dusri post ka url us post me add ho jayegi, iske alawa kisi text me link dena hai, yani pahle se likhi hui word me link add karna chahte hai. to wo bhi aap aasani se kar sakte hai, to iske liye niche bataye hue steps follow kare.



Pahle Se Likhi Hui Text (Word) Me Link Kaise Lagaye


Step - 1 Apne old post ko open kare, ya new post me lagana chahte hai to use open rahne de, ab aapko jis bhi text me link lagana hai, use select kare, computer me kar rahe hai to mouse me left button ko press karke kar sakte hai, aur mobile me aap screen ko touch karke us text ko kuch samay tak press karke rakhenge to wah select ho jayega. 

Step - 2 Iske baad aage ka process same rahega joki hamne upar wale method me jana hai, jaise link icon par click karna hai.

Step - 3 Iske baad text to hamne pahle se select kiya hua hai to yaha title likhne ki jarurat nahi, to niche me aapko link pest karna hai aap usme koi bhi link laga sakte hai, jo text select kiye honge usse milte julte, ab open this link in a new window option ko tick kare aur apply par click kare.

blogger post me dusri post ka link kaise pest kare

Link pest kare aur apply kare




Blogger post me link kaise dale video









To friends aapke blogger blog ke kisi bhi post me dusri post ka link(URL) add karne me koi problem aaye to hame comment karke jarur bataye ham aapki puri help karenge. and is post ko share jarur kare.

4 comments: