Facebook id kaise banate hain | 5 minute मे नया फेसबुक अकाउंट बनाए

Share:

facebook account new id create hand mobile icon


Facebook duniya ka sabse jyada use kiya jaane wala most popular social networking platform hai. facebook se ham apne relatives, family, friends se jude rahte hai. jaha par ham apni activities share karte hai aur dusro ki activities dekh sakte hai. 

Facebook ko year 2004 me america ke mark zuckerberg ne banaya . jo aaj world ke sabse richest man ki list top 10 me shamil ho gaye hai. to ab aap ye soch sakte hai ki facebook kitna popular hai. 

Ek baat aur shayad aap nahi jaante honge ki facebook ke success ke piche india ka bhi hath hai kyoki sabse jyada user india se hai. to ye to hui facebook ke bare me ab ham janenge ki facebook account kaise banaye.


नया फेसबुक अकाउंट कैसे बनाएं (Facebook ID Banane Ka Tarika) 


Step - 1 Sabse pahle aap apne mobile me facebook app ko install kar open kare, ya fir aap koi bhi internet browser jaise google chrome me jakar bhi fb id bana sakte hai. dono ka process same hi rahega.


Step - 2   Create new account - to facebook app open karne ke baad aapko create new account par click karna hai.


Step - 3 Get Started - next step me aapko get started par click karna hai.



Ye Bhi Padhe :





Step - 4 What's your name - Ab yaha par aapko apna name aur last name/surname enter karna hai.
First name - first apna name enter kare
Last name - yaha apna surname enter kare
Next - aur next par click kare


Step - 5 What's your birth day?
choose your date of birth. you can always make this private later.
Birthday - first - apna birth date choose kare, second - apna birth month select kare, third - apna birth year select kare.
Next - ab next par click kare.


Step - 6 What's you gender? -
yaha apna gender select kare jaise boy hai to male, girl hai to female ya other ke liye more options ko select kar sakte hai. ab next par click kare


 Step - 7  Whats your mobile number -
Mobile number - yaha apna mobile number enter kare. dhyan rahe jo mobile no. aap enter kar rahe hai wo pahle se kisi bhi dusre facebook id par use na kiya gaya ho. to ab next par click kar dena hai.






Step - 8 Choose a password - create a password with at least 6 characters. it should be something that others couldn't guess.
Password - password minimum 6 character ka banaye jisme words, numbers, symbol ka use kare jaise :- Abc37? password me mobile number ya date of birth ka use na kare. password aisa banaye jo thoda difficult ho aur aapko yaad rakhne me aasan ho.
Next - ab next par click kare.


Step - 9 Agree to facebook terms and policies - ab yahan par aapko niche i agree par click kar dena hai.


Step - 10 Send Code -
yaha par account confirm karne ke liye 2 option milte hai
First - whatsapp
Second - sms
jo mobile number aapne use kiya hai aur usi number par whatsapp account hai. to aap 5 digit code ke liye watsapp ka option bhi choose kar sakte hai.

ya fir usi number par simple text message chahte hai. to second wale option send code via sms par click kare.

Send code - ab send code par click kare

Enter the confirmation code - apne mobile ke inbox me jaye waha 5 digit ka code aaya hoga. jaise - FB-76230 to isme 76230 ko yaha khali box me enter karna hai. agar aap code enter nahi karna chahte to inbox me aaye hue code ke niche link hoga uspar click karke bhi account confirm kar sakte hai.

Next - code dalne ke baad next par click kare


Step - 11  Add a Profile picture -  ab yahan par profile photo lagane ka option aayega, to iske liye niche se add picture par click kare. 

Choose from gallery/ take photo - yahan photo upload karne ke liye 2 option milenge, first gallery ka aur second camera ka, to phone me rakhe hue photo ko upload karne ke liye gallery option par click kare. iske baad gallery se koi bhi photo par click kare, aur ab done par click kare.


Step - 12 Turn on contact uploading to find friends faster - facebook par apne friend ko find karna chahte hai, to niche se turn on par click kare, aur nahi chahte to not now par click kare. 

Iske baad aage ka process nahi karna chahte to skip kare, ya fir contact wale friends ko find karna chahte hai to import contact par click kare.



Step - 13 Add your friend - ab yahan niche skip par click kar de.

Step - 14 Turn on notification to stay connected - ab yaha niche se turn on notification par click kare, aur aage allow par click karde.

Step - 15 Follow popular profiles in your area - ab yaha par niche se done par click karde



To ab aapka facebook account successfully create ho chuka hai. aage aap apne friend, family circle ko jinka fb par account ho unhe friend request bhej sakte hai. aur unka accept kar sakte hai.


 Ye bhi padhe 


No comments