Blogger me theme kaise lagaye 2022 Hello friends webtohindi par aapka swagat hai. aaj ham janenge theme ko upload ya change kaise kare blog website ka. tamplate ko theme ke name se bhi jana jata hai, joki pahle blogger par yaha features template ke naam se hota tha jise ab theme name se change kar diya gaya hai.
Blogger par blog website banane ke baad hame use ek good look aur accha design dena hota hai. iske liye blog ka template sabse main hota hai. ek theme hi deside karta hai ki apka blog kaisa dikhega. aur blog me kya features add honge. aur aage ham use kis tarah ek accha look de sakte hai.
Agar aapne apna blog bana liya hai to ab aap us par ek accha template upload karna chahte honge. agar aapko blog ka theme upload ya change karne me problem aa rahi hai ya aap nahi jaante ki theme ko blog me kaise upload karte hai. to mai yaha par aapko detail se bata raha hu. aap bhi apna blog banana chahte hai aur nahi jaante ki blog kaise banaye to pahle ye post padhe.
⇨Website blog kya hai free blog kaise banaye blogger par
Theme ko upload karne ke bare me janne se pahle ham ye jan lete hai ki template ya theme kya hai.
Template/Theme kya hai:-
Theme hamare blog ka, design hota hai. jisme hamare blog website ke sabhi importent gadgets , features vigets add hote hai. jaise sociel button, like page, share page ,follow button , subscribe , blog ka logo icon, aur post body add hote hai. template me ham apne anusar bhi koi anya gadjet vigites add kar sakte hai.
Template 2 type ke hote hai :-
- .rar
- .zip
Blog website ke liye theme kyo jaruri hai:
Jab ham blogger par new blog banate hai to waha par pahle se template hote hai. joki wah utne ache nahi hote hai. aur us template ka look design bhi kuch khas nahi hota. aur har blogger chahta hai ki uska blog sabse hatkar lage. to hame ek aise template ki jarurat hoti hai jo hamare blog ko ek badiya good look de. aur hamare post bhi acche se dikhe. iske liye hame naye template ko download karke use blog me upload karne ki jarurat hoti hai.
Theme kaha se download kare:
Agar aap chahe to Google par search karke dekhe aapko bahut se theme download karne ki website mil jayegi.aap waha se theme download karke apne blog me laga sakte hai. par fir bhi mai yaha pe aapko kuch badiya best popular site bata raha hu jaha se aap free ya paid template lekar use apne blog me upload kar sakte hai.
- Gooyaabitemplates.com
- btemplates.com
- soratemplates.com
- mybloggerthemes.com
Template kaisa hona chahiye.
Yaad rahe aap template aisa choose kare jo sabhi tarah se perfect ho. taki aapko use bar bar badlna na pade. yaha par mai aapko kuch tips bata raha hu ki template kaisa hona chahiye.
- Seo friendy :- Template ka seo friendly hona bahut jaruri hai. taki aapke blog ya site ko search engine se accha result mile.
- Mobile friendly :- Aap to ye jante hi honge ki aaj internet ka use log sabse jyada mobile par hi karte hai. to aapka template mobile friendy hona to bahut jaruri hai.
- Fast loading :- Koi bhi visitor jaldi khulne wali site ko hi pasand karte hai. kyoki kisi ko bhi wait karna pasand nahi hai. aise me agar aapki site ki loading time bahut jayada hai. to uski vajah template bhi ho sakti hai. isliye template choose karne se pahle ye check karle ki template ki loading time kitni hai.
- Adsense ready :- Waise to sabhi template me adsense ke ads lagane ke liye jagah hoti hai. par fir bhi aap ye check karle.
To ye to hamne jan liya ki. template kya hai , blog website ke liye template kyu jaruri hai , template kaha se download kare , template kaisa hona chahiye , ab ham dekhte hai blog ya website me template ko upload ya change kaise karte hai.
Note Yaad rahe aap jo template download karenge wo .rar
ya .zip file me hogi. aur blogger blog kewal .xml file hi support karta hai. to aap template download karke use apne computer/mobile me win rar software se .xml file ko bahar nikal le.
Theme ko upload ya change kaise kare blog website me 2022 :-
Sabse pahle aap www.blogger.com par jaye aur apne site par log in kare. agar pahle se log in nahi hai to.
Step - 2 Iske baad right side me customize likha hoga uske side me arrow hoga uspar click kare.
Step - 3 Arrow par click karne ke baad kuch options najar ayenge jisme Restore par click kare.
Step - 4 Ab yaha par aapko upload par click karna hai.
Step - 5 Iske baad aapke computer ya mobile me jaha bhi jis folder me aapne theme ko download aur extract karke rakha hoga us jagah par jaye aur waha par xml document file par click kar open karna hai.
Ab theme succesfuly upload ka message dikhai dega. to ab aap dekh sakte hai. aapke blog ka template/ theme change ho gaya hai.
To friends ab aapka theme change ho gaya hai to is post ko apne friends ke sath jarur share kare. aur hamari site ka page like and subscribe kare....!
Tags:
Tags:
#themeForBlogger
#freeBloggerThemes
#magThemeForBlogger
#mobileFriendlyBloggerTemplate
#bestFreeBloggerThemes
#newBloggerThemes
#notableBloggerTheme
#themePreviewIsCurrentlyUnavailableInBlogger
This comment has been removed by the author.
ReplyDelete