Baat kare mobile number ki to aise bahut se log hai jo. 2 ya usse adhik number use karte hai. unhe ye problem hoti hai ki. ek number to yaad rakh lete hai. par dusra number yaad nahi rakh pate. iske alawa aise bhi log hai jo aaye din apna number change karte rahte hai. unhe bhi apna mobile number yaad rakhna muskil hota hai.
Waise apna mobile number yaad rakhna to bahut jaruri hai. ya fir aap apna number likh kar rakh sakte hai. ya fir phone me save karke bhi rakh sakte hai. aap itna nahi kar pate to koi baat nahi. ab aap ussd code ki madad se apna mobile number turant pata kar sakte hai.
सिम का नंबर कैसे निकाले 2024 (how to find sim card number)
Yaha par aapko alag alag company ke ussd coad diye jaa rahe hai. jinhe aap apne mobile phone me dial kar apna number jaan sakte hai.
---Sim number kaise pata kare ussd code se---
Airtel ka number kaise nikale-
Aap apne airtel sim ka number ussd code ki madad se bina kisi internet ke check kar sakte hai, iske liye aapko apne koi mobile chahe wah keypad hi kyo na ho usme number dial karna hai pahla jo number hai usme aapko *282# type karna hai fir call karna hai, iske baad aapke mobile screen par aapka airtel number show ho jayega, iske alawa ek aur number hai isme aapko *121*9# dial karna hai jiske baad aapka sim number dikh jayega.
Airtel
- *282#
- *121*9#
VI sim ka number kaise nikale
Agar aapke paas vi vodafone idea ka sim hai to aap ek se adhik ussd code ki help se apna number check kar sakte hai. iske liye bhi aapko apne mobile phone me call karne wala app ya keypad phone hai to sidhe number dial karna hai, yani ki call karna hai jiske baad aapka number screen par dikhne lag jayega. vi ka number kaise check kare code niche diya gaya hai.
Vodafone vi
- *111*2#
- *555#
- *777*0#
- *131*02#
- *555*0#
Jio sim ka number kaise nikale (जिओ सिम का नंबर कैसे पता करें)
jio ka number kaise nikale ussd code se to dosto ham aapko bata de ki sim ki tarah jio sim me aap ussd code dial karke apna number nahi pata kar sakte hai, kyunki jio ne abhi tak ussd ki suvidha nahi di hai, to iske liye aapke paas 3 best method hai jo ham niche bata rahe hai.
Jio
1. First Method Dial 1299 - To mere hisab se yah tarika sabse best aur easy hai kyunki isme aapko 1299 number hi dial karna hai jiske turant baad hi aapke usi mobile number ek sms aaata jisme aapka jio number hota hai sath hi aapke plan ki puri detail bhi hoti hai jaise - plan rs. plan ka month, aur expiry date, data balance, top up balance, etc.
Jio
1. First Method Dial 1299 - To mere hisab se yah tarika sabse best aur easy hai kyunki isme aapko 1299 number hi dial karna hai jiske turant baad hi aapke usi mobile number ek sms aaata jisme aapka jio number hota hai sath hi aapke plan ki puri detail bhi hoti hai jaise - plan rs. plan ka month, aur expiry date, data balance, top up balance, etc.
2. SMS Kare 199 Par - Ye Bhi ek accha tarika hai isme aapko message karna hai, message me aapko type karna hai capital me BAL aur use 199 par send karna hai jiske baad aapke number par ek sms aayega jisme jio number other details bhi bata diya jayega.
3. My Jio App Se - Adhiktar log my jio app use karte hai to isme jio number app me diya rahta hai, agar aap yah app abhi tak use nahi karte to niche diye hue link par click kar yah app install kar sakte hai, install karne ke baad aapko jio number number enter karna hai, iske baad app ke home page me apna number aur plan ki detail dekh sakte hai.
Itna hi nahi aap my jio app par recharge plan, dekh sakte hai, sath hi apna mobile recharge bhi kar sakte hai iske alawa aur bhi suvidha is app par dekhne ko mil jayega.
Link - My Jio App
Bsnl sim ka number kaise nikale ussd code (अपना मोबाइल नंबर कैसे जाने bsnl)
Apne bsnl sim ka number aap ussd code dial kar aasani check kar sakte hai. joki isme bhi aapko offline aur online ka method milta hai offline method me sabse accha tarika ussd code hota hai jisme sirf kuch code hi dial karna hota hai jiske baad aapka number screen par show ho jata hai, to to bsnl number check karne karne ke liye ussd code hamne niche diya hua hai.
Bsnl
- *1#
- *222#
- *99#
To friends aapne yaha pe jana ki ussd coad ke jariye ham apna mobile number pata kar sakte hai. wo bhi aasan tarike se. to ise apne dosto ke sath share karna na bhule.
मोबाइल नंबर कैसे चेक करें Video
Ye bhi padhe:
. जिओ के रिचार्ज प्लान मे हुए बदलाव यहाँ देखे पूरी लिस्ट jio ke recharge plan hue change dekhe puri list
. Android mobile se computer pc laptop me internet kaise chalaye 2 best tarike
. Jio sim/number पर free caller tune set kaise kare | जीओ ट्यून कैसे सेट करे
No comments