Facebook Account Ya Id Deactivate Aur Delete kaise kare

Share:

facebook account id delete or deactivate kaise kare


Friends kya aapka facebook par account hai aur aap use Deactivate aur Delete karna chahte hai. to uske karan (reason) kuch is tarah se ho sakte hai... 

  • Facebook par aapka 2 ya usse adhik account ho sakta hai.
  • Aapka account bar bar hack hota hai.
  • Facebook par koi aapko paresan karta ho.
  • Ya facebook upyog karne ka tarika aapko samajh me na aata ho.

Inme se aur bhi karan(reason) ho sakta hai jiski vajah se aap facebook account deactivate aur delete karna chahte hai.
  

Facebook id ko band(close) karne ke 2 tarike hai:-


  1.  Deactivate 
  2.  Delete

Aap soch rahe honge ki deactivate aur delete ka matlab to ek hi hai lekin yaha par aisa nahi hai.

Facebook me jab aap apne account ko deactivate ke madhyam se close karte ho to wah parmanent close nahi hota use aap kabhi bhi id password daalkar phir se open kar sakte ho. lekin agar aapko puri tarah se apne account ko prmanently band karna chahte hai to aapko delete ke option se band karna hoga.

Yaha par ham dono type se account ko close karne ke bare me janenge.
  

Facebook deactivate kaise kare in hindi

Type - 1 Deactivate Account:-

  STEP- 1    Sabse pahle aap apne mobile me facebook ki app open karle, ya aap chahe to koi bhi browser open karle jaise google chrome. aur usme apna facebook account log in karle, joki aap computer laptop bhi kar sakte hai.


  STEP- 2    Log in hone ke baad facebook ke home page me top par right side me three line hoga uspar click kare. 

Three line par click kare




  STEP- 3    Is page aapko sidhe niche chale jana hai. Yaha par bahut sare option honge. jisme aapko settings & privacy iske baad settings par click karna hai.

Settings and privacy par click kar settings par click kare



STEP - 4    Personal And Account Information - Ab yahan par aapko personal and account information likha hoga uspar click karna hai.

Personal and account information par click kare


  STEP-5    Account ownership and control - Yaha par bhi aapko kuch options dikhenge jisme aapko niche 'account ownership' and control par click karna hai.

Account ownership and control



  STEP-6   Deactivate and delation - Yaha aapko deactivate and delation par click karna hai.


Deactivate and delation par click kare



  Step - 7   Deactivate Account - is method ke through fb id kewal disable hoga. aur aapka name aur share kiye gaye photos ko remove kar diya jayega. baki aapka account waisa hi rahega. jise aapk kabhi bhi id password dalkar fir se open kar sakte hai. to aap chahte hai ki aapka fb account kuch samay ke liye band rahe, aur baad me use reactive kar sake to uske liye aap deactivate method ko choose kare.
Continue to account deactivation - deactivate choose karne ke baad niche continue to account deactivation.

choose deactivate and click continue to account deactivation

 Step - 8  Deactivate your facebook account - yaha aapko batana hoga ki aap facebook id deactivate kyo karna chahte hai.

jaise niche kuch option diye hue hai- 


  • this is temporary, i'll be back
  • i have another facebook account
  • i have a privacy concern

To maanlo aapke paas koi aur facebook account hai to aap " i have another facebook account ka option select kare. agar aapka deactivate karne ka kaaran (reason) kuch aur hai jo is list me nahi hai to aap niche ek khali box hoga usme apna reason likhkar continue par click kare.  


choose your reason and click continue


  STEP-9    Before you deactivate - 

( .messanger ) agar aap fb messanger use karte hai, aur chahte hai ki facebook account deactivate karne ke baad bhi, messanger par apna fb access kar sake, to yaha keep using messanger par click kar sakte hai.

(.Your notifications) facebook id deactivate karne ke baad bhi aap chahte ki aapke friends aapko kisi event ke liye invite kare. ya kisi photo me aapko tag kare. ya kisi group me judne ke liye aapko puche aur uska notification aapko mile to aap opt out of recieving future notifications from facebook par tick kar sakte hai.

Deactivate my account - ab deactivate my account par click kare.


continue par click kare


Ab aapka account deactivate ho chuka hai.

NOTE :  Is option me aapka account only deactivate hua hai puri tarah se delete nahi hua. aapka name search karne par to nahi aayega lekin aapke dosto ke friend list me ab bhi aapka name dikhai dega. agar aapko parmanently delete karna hai to 2nd type follow kijiye.


Facebook account delete permanently kaise kare (how to delete facebook account on phone)

Type - 2  Delete Account:-

 Step - 1  To dusra option hai delete account aap chahte hai ki aapka fb id hamesa ke liye band ho jaye, to is wale option ko choose kare. aur niche continue to account delation par click kare.


first delete account par click kar continue to account delation par click kare


 STEP- 2   Before you delete we may be able to help - 


To keep messanger, deactivate instead - yaha par aap messanger ko continue rakhna chahte hai. account delete karne ke baad bhi to deactivate account par click kar sakte hai.

Download your information - apne facebook account me koi information ya kisi bhi tarah ke jaruri data upload kiye the, aur uska backup lena chahte hai, to download info par click kar sakte hai.

Delete account - ab delete account par click kare.


delete account par click kare

  

  STEP-3    Confirm that this your account - apne account ko permanently delete karne se pahle yaha apna fb password enter karna hoga. aur continue par click karna hoga.


enter password and click continue



  STEP-4    Confirm permanent account delation - Last me aapko bataya jaayega ki agar aap apna account wapas chahte hai to 30 days ke andar recover kar sakte hai. 30 dino ke baad wah parmanently delete ho jayega.

Delete account - ab 'delete account' par click karna hai.

facebook account delete kaise kare



iske baad aapka account delete ho jayega.!





is tarah se aap 2 method se apne facebook account ko deactivate aur delete kar sakte hai. aise hi aur bhi jankari ke liye is site ko subscribe aur facebook page ko like karna na bhule.!    

No comments