Apne facebook id me profile photo kaise lagaye

Share:

Internet par apne friends,relatives se online connect rahne ke liye facebook sabki pahli pasand bani hui hai. isliye aaj har internet user facebook par apna account bana rahe hai.

Facebook par naye user jab apna account banate hai. tab unhe jyada kuch pata nahi hota. ki kon si setting kaha par hai. aur use upyog kaise kare. waise ye information new facebook user ke liye hai. jo abhi-abhi facebook join kiye hai.

To naye facebook user ko ye problem aa sakti hai. ki facebook me apna profile photo kaise upload kare.


facebook par apna photo kaise upload kare



facebook par apna profile photo kaise upload/change kaise kare


Computer aur mobile dono me facebook profile picture set karne me alag-alag steps use hoti hai isliye ham yaha dono tarike se dekhenge.


Mobile se facebook par apni photo kaise daale:-

Sabse pahle aap apne mobile phone me facebook app open karle agar anhi pahle se nahi hai to play store, app store par jakar install karle.

 Step - 1    Ab facebook app ko open kare aur apne fb id aur password enter kar log in kare agar log in nahi hai to.

 Step - 2     Ab facebook ki app me left side blank icon najar ayega. jab pahle se koi bhi photo na laga ho to, to aapko isi blank icon par click karna hai.

Profile icon par click kare



 Step - 3    Ab yaha par bade hisse me jo blank icon najar aa raha hoga uspar click kare, uske baad aapko select profile picture par click karna hai..


Profile icon par click kar select profile picture par click kare


 Step - 4     Ab aapke phone ki gallery open ho jayegi, to waha se apne us photo ko search kare aur aur uspar click kare.


 Step - 5      Ab yaha par apne photo ko adjust, crop kar sakte hai, aur niche apne photo ke bare me kuch likh sakte hai. ab upar right side me save likha hoga uspar click kare.

photo adjust crop karke save par click kare


 Step - 6      Ab aapka image upload ho chuka hai to ab. iske baad aapka profile photo aapke dusre friend ko bhi dikhai dega.
       


Computer se facebook me profile photo kaise dale:-


Computer me facebook par profile piture lagane ke liye apne pc laptop me koi bhi internet browser open kare jaise google chrome, ab usme facebook.com search kar site par jaye aur apna id password enter kar log in kare.


 Step - 1    Apne facebook home page me sabse upar right side me aapka name aur photo ka blank icon hoga. uspar click kare.

 Step - 2      Ab yaha aapko blank image najar aayega. niche camera icon hoga. to apko bade hisse me dikh rahe icon par click kare. ab add photo likha hoga. uspe click kare.

profile icon par click karke add photo par click kare



 Step - 3    Yaha par aapko upload photo par click karna hai. iske baad aapke computer me storage open ho jayega jaha se aapko apne photo ko search kar open karna hai.

Upload photo par click kare



 Step - 4     Ab yaha par aapka photo show karega upar me description ka option hoga jisme apne photo se related kuch likh sakte hai, iske baad photo ko mouse se drag drop kar adjust kar sakte hai, iske baad save par click karna hai.


Photo ko adjust kare aur save par click kare



To ab aapka profile picture/image lag chuka hai.


 ये भी पढ़े : 


1. Ek Number Se Do Facebook Id Banane Par Pahli Id Kaise Open Kare





To friends facebook par profile photo ya dp upload change karne ki yah jankari aapko kaisi lagi hame comment karke jarur bataye. ya facebook se related koi sawal ya koi aur information hai to bhi hamse puch sakte hai. 

No comments