Internet se online paise kamaye 5 best tarike full detail in hindi 2023

Share:
Aaj ke is post me ham baat karne wale hai internet se paisa kaise kamaye. duniya me kaam to bahut hai par unme se apne pasand ka kaam milna bahut muskil hota hai. aise bahut se log hai jo padh likhkar bhi unhe apne pasand(interest) ka kaam nahi mil pata iske bahut se karan ho sakte hai.

jaise: har field me competition ka hona, education strong hona, kisi bhi kaam ke liye aapka anubhav aur work dusro se achi honi chahiye. agar aap ek middle class family se hai aur aapki family ki income bahut hi kam hai . aur is bich aapko govt. job na mile. aur aap buisness bhi karna chahe to bhi aap nahi kar paoge.


five ways to earn money by online internet


To is bich internet par work karke paise kamana ek accha option ho sakta hai. kyoki yaha par koi aapki kaabiliyat, anubhav,aducation, knowledge. nahi puchega yaha par aap apne marji ke anusar apne pasand ka aur apne talent ke hisaab se kaam karenge.

To ab aap ye deside kare ki aap apne pasand(interest) ka kya kaam kar sakte hai. Mai aapko yaha par Internet se paise kamane ke 5 best tariko ke bare me bataunga jisse apko kuch help mil sake.


Online paise kaise kamaye (Ghar baithe paise kaise kamaye mobile se)


गूगल से पैसे कैसे कमाए

Dosto jaisa ki aapko pata hai internet ki duniya me google ek bahut badi company hai, aur iske kai service hai. jaise google ka search engine, youtube, android, blogger, play store jaise aur bhi bahut si badi badi srvice hai. aur inhi service ke jariye google paise kamane ke mauke bhi deta hai. to yaha par mai aapko google ke 2 bade service ke bare me niche bata raha hu. jinse ghar baithe paisa kamana kafi aasan hai.

Aur in 2 service ka hi log sabse jyada use karte hai internet se paise kamane ke liye, in 2 service se aap paise ke sath name bhi bana sakte hai, sath hi agar aapka business hai to use bhi iske jariye grow kar sakte hai. 

  1      bBlog website banakar paise kamaye :-


Aaj jitne bhi log internet se paise kama rahe hai. unki pahli pasand blog, website hi hai. isme aapko koi paise lagane ki jarurat nahi hai. yah kaam aap free me start kar sakte hai. aur acche paise bhi kama
sakte hai. agar aap ek acche writer hai. ya aap kisi chij me anubhav rakhte hai. to blog aapke liye ek accha option ho sakta hai blogging me aap apne pasand ka kuch bhi likh sakte hai 

jaise:- story, poetry, health, sports, technology, jokes,shayri, education, internet computer mobile aur bhi bahut se option hai. lekin haa isme aapko kewal apna cntent likhna hai kisi aur ka copy nahi karna hai.

Blog banane ke liye aap google ka free blogspot www.blogger.com par jaye aur apne gmail se log in kare. agar aapke pass gmail account nahi hai to gmail kaise banaye ye janne ke liye aap ye post padhe.
       
Read This:

⇨ Email Id Kaise Banate Hai Google par

⇨ Website blog kya hai free blog kaise banaye blogger par


Blog ban jane ke baad apne blog me apne topic se related roj naye naye post likhe aur apne blog ko search engine me submite kare. jab aapke blog me 30-50 post ho jaye. aur aapke blog ke visitor yani padhne walo ki sankhya adhik ho. tab aap google adsense ke liye apply kare.

jab aapke adsense approve ho jaye. tab adsense ke ads apne blog par lagaye. fir jab bhi koi visitor aapke blog par aayega aur us ads par click karega tab aapki income hogi. aur jab aapke adsense account me mnimum $100 dollar yani indian rupees me karib 7000 rupaye ho jaye tab aap use apne bank account me le sakte hai.


 ये भी पढे :



  2       Youtube se paise kaise kamaye:-


Youtube ek online video dekhne aur video share karne ki website hai. jiski app bhi hai. online earning ke mamle me  youtube bhi ek best option hai. youtube par aap comedy, singing, film, education, technology, funny, in sab ke alawa agar aapka koi  bhi buisness hai to uska video banakar promotion ke sath-sath us video se paise bhi kama sakte hai. lekin ek baat ka dhyan rakhe ki aap jo video upload karoge wo kisi aur ka nahi hona chahiye. matlab khud ki hi banai hui video honi chahiye. video aisa banaye ki logo ko jyada se jyada pasand aaye. jitne jyada log aapke video dekhenge utne paise aap kamayenge.

                   Iske liye aapko www.youtube.com par jana hoga aur apne gmail id aur password dalkar sign in karna hoga yani ki youtube par account banana hoga. ab aapko apne youtube channel banakar
use ek naam de aur apne video upload kare. uske baad aap apne youtube video ko monetize kare. monetize kaene ke liye aapke youtube channel me minimum 1000 subscriber aur 4000 hours ka watch time hona chahiye. tab aap adsense ke ads apne video par laga sakte hai. fir koi bhi vsitor aapke videos dekhega aur ads par click karega to aapko uske paise milenge. youtube par bhi aapko minimum $100 dollar kamane ke baad bank account me le sakte hai.


Online Paise Kaise Kamaye Video :




   3        Android App Banakar Paise Kamaye.


Android app banakar bhi aap acchi kamai kar sakte hai. agar baat ki jaye android ki to aaj yah phone lagbhag har vaykti ke pas uplabdh (available) hoti hai. us hisab se iska marketing bhi bahut bada hai.
duniya me sabse jyada android phone ka hi use kiya jata hai. agar aap ek programmer hai to aap bahut hi accha android app create kar sakte hai. lekin ab android app koi bhi bana sakta hai. wo bhi bina coding aur programming ke. aap android app online website ki madad se bana sakte hai.

Mobile app banane ke liye best free website




               
In website se aap asani se android app bana sakte hai. app banane ke baad us app ko google play store me account banakar publish karna hoga. iske liye aapko $25 doller dene honge. aapko sirf ek bar paise dene honge.iske baad aap apne apps me adsense ke ads lagayenge aur jitna ho sake apne apps ko promote kare. jab aapke apps 1000 se jyada log download karke use kare tab aap usse acchi income kar sakte hai. iske alawa internet par aise bahut se buisness website hoti hai. jo apne site ke liye app banwana chahte hai. aap unke liye apps banakar unhe sell karke paise kama sakte hai.



 Read This : 




  4          Freelancing Se Paise Kamaye.


Internet par yah ek accha option hai apne talent se paise kamane ka. freelancing ek aisa platform hai jaha kisi person ko apne kaam ke liye aise vaykti ki jarurat hoti hai jo uska kaam kar sake. agar aap us kaam ko karne ka talent rakhte hai. to aap us person ka kaam karke usse paise le sakte hai.

jaise aap kisi website ke liye post likh sakte hai. photo design kar sakte hai. data entry . video bana sakte hai. aur bhi bahut kuch. freelancing ki ek bahut hi achi site hai jiska name hai. upwork .is site par aapko online clients milenge jo aapko aapke talent , skill , ke hisab se work denge jise aapko diye hue samay. ya apne hisab se time bata kar us time ke andar work complete karke dena hoga


freelancing me paise aapko work dene wale aur aapke skill aur experience par depend karega. yaha par aapko differents type ke work karne ko milega jaise - web mobile & software, design & creatives, writing, sales & marketing, science and analytics, admin support, engineering & architecture.

Best freelancing website




  5         Photo Selling Karke Paise kamaye.


Agar aap photo shoot karne aur acche photo design karne ke soukin hai aur aapke pass ek acha quality ka camera hai. to aap apne photo se  bahut hi acchi income kar sakte hai. internet par aisi bahut si site hai jo image ke badle paise deti hai. un site me se ek achi site hai. Adobe Stock is site par aap apne photo bech kar paise kama sakte hai. lekin aapko paise aapke image ke design, look, aur quality ke hisab se milenge. iske alawa aap apni khud ki website banakar bhi apne photos ko site par dalkar paise kama sakte hai.

Photo sell karne ke liye best website




 Read This : 

⇨ internet se paise kamana chahte hai to pahle ye post padhe puri jankari hindi me

⇨ Paytm First Games से पैसे कैसे कमाए Game खेलकर | paytm first game app download

⇨ Online mobile recharge करके cashback कैसे कमाएं top cashback apps


To friends ye the internet se paise kamane ke 5 beutifull tarike aapko jo pasand aaye wo kar sakte hai. and is post ko apne dosto ke sath share jarur kare. 

No comments