Mobile se favicon kaise lagaye/add kare blogger blog me in hindi 2023

Share:

How to add or change favicon on blogger blogspot blog: Favicon jise icon bhi kahte hai. yah favorite+icon se bana hai. jo kisi bhi website, blog ke liye yah ek alag pahchan ka kaam karti hai. jis kisi bhi blog ke liye logo jaruri hai. usi tarah ek favicon bhi jaruri hota hai. hum kah sakte hai ki yah same logo ka hi ek roop hai. isme different yah hai ki logo ko ham jaisa chahe waisa name and design de sakte hai. aur yah blog ko open karne par dikhai deta hai. jabki favicon google ke search result me aur blog open karne par search baar ke upar me show karta hai.


Mobile se blogger blog me favicon kaise lagaye




Jabki favicon ek chota sa clip art jaisa hota hai. jo jyadatar blog, website, ya kisi brand, company ke pahla word ya logo ko hi favicon yani icon ke roop me add kiya jata hai. jo adhiktar 16×16 pixels ka aur square image hota hai.



Ye kuch popular website ke favicon:-
  • Google
  • Youtube
  • Facebook
  • Twitter

google youtube facebook twitter fevicon



Favicon ke kuch fayde:-
  1. Google ab apne search result me bhi site ka favicon show karta hai, jisse koi users google me kuch search karta hai to search list me favicon ko dekhkar yah samjh jayega ki us website ka url ya name kya hai. jo internet users ke liye to faydemand hai hi aur isse blogers ko bhi fayada hoga.
  2. Mobile ho ya computer kisi bhi website ko jab bookmark karte hai. to us bookmark ki list me us website ka favicon dikhai dega. jisse aap pahchan jaoge ki yah kis site ka hai.
  3. Computer me jab aap ek sath 4-5 website ko alag-alag tab me open karenge. to us tab me bhi. aapko us site ka favicon dikhai dega. isse aap ye jaan sakte hai ki. kon si tab me kon si site khuli hui hai.
  4. Mobile me hum dinbhar me bahut si website par visit karte hai. kuch site jispar aap daily visit karte hai.unke naam to aapko malum honge. lekin aur bhi bahut se site hai. jispar aap visit karte honge lekin yaad nahi rakh paate. to iske liye aap apne mobile ka history check karte hai. to isme ye faayda hai ki. history me bhi aap us site ka icon dekh sakte hai. aur us site par aasani se jaa sakte hai.
  5. Agar aap blogging karte hai. to apne blog me favicon jarur add kare. yah aapke blog ke liye ek brand ka kaam karega. aur aapke blog ko ek alag pahchan dega.

Blog ke liye favicon kaise banaye (favicon generator)

  • Mobile photo editer app se - Mobile ke liye bahut se photo editer app hai jaha se aap apne hisab se favicon bana sakate hai, aap in apps ka use kar sakte hai -- 1.photo editor, 2.picsart, 3.snapseed, etc.
  • Computer, laptop se - Agar aap khud se banana chahte hai. aur aapko photo editing ki thodi bahut knowledge hai.to aap computer me 1.Photoshop, 2.photoscap, 3.Microsoft paint software ka use karke fevicon bana sakte hai.
  • Favicon generator website se - Online website se bhi favicon banaya ja sakta hai. 1 favicon-generator.org  2. Favicon.cc in dono website se aap bina kisi photo editing knowledge ke ek badhiya fevicon taiyar kar sakte hai.


Mobile se blogger blog me favicon kaise lagaye (how to change favicon in blogger)


blog me favicon lagane se pahle dhyan de ki.aapka fevicon square image yani uski hight aur width same honi chahiye jaise 16×16 pixel. aur wah 100kb se kam hona chahiye.

STEPS:-
  1. Sabse pahle aap chrome browser me apne blog ko open kare.
  2. Ab settings par click kare. right me basic option me 6th number par favicon likha hoga uspar click kare.
  3. Ab Choose file par click kar apne mobile ke gallery ya file manager se favicon ko select kar add kare.
  4. Ab save par click kare.

Blog par favicon kaise lagaye

Mobile se blog par favicon kaise lagaye




in 4 step se aap aasani se favicon apne blog me laga sakte hai. aur kabhi bhi change kar sakte hai. favicon ko apne blog par jarur add kare ye aapke blog ko ek professional look dega.



Favicon kaise lagaye blogger me video







Ye bhi padhe :-

1.Blogger blog me logo,design add kaise kare

2.Template ko upload ya change kaise kare blog website me

3.Blogger ki kisi bhi post me dusri post ka link(URL) kaise add kare



To ab aapko samajh aa gaya hoga ki favicon kya hai, favicon kaise banate hai, aur favicon ko blogger blog me kaise add kiya jata hai. post accha lage to share kare, aur koi sawal hai to comment karke puch sakte hai.

No comments