Kisi bhi language ko koi dusri language me translate kaise kare

Share:

language transalation kaise kare kisi bhi word ko


 Hello Friends aap ye to jaante hi honge ki world me anek prakar ki lakho bhasaye boli jati hai. alag alag type ke languages alag alag country ke hisab se hoti hai. aur har country ka apna ek national language bhi hoti hai. jaise india ka hindi. waise india me hindi ke alawa aur bhi bahut si bhasaye hai.
  
Jaise :- Bengali, gujarati, kannad, malyalam, marathi, oriya, punjabi, tamil, telugu, urdu.


Inke alawa aur bhi bahut si bhasaye hai india me. lekin problem tab aati hai jab aapko aise jagah jana pade jaha aapki language ke log na ho. aur aapko unki language samajhne me dikkat jaye. ya fir aap koi aise job ki taiyari kar rahe ho ya koi buiseness ya kaam kar rahe ho jisme aapko lagta hai ki koi language hame sikhni chahiye ya aap sochte hai ki us language ki hame jarurat pad sakti hai.

To aaj mai yaha aapke liye online website lekar aaya hu jaha se aapko thodi bahut to language ki samasya se help mil sakti hai. aur aap un website se apni bhasa ko dusri bhasa me aur dusri language ko apni language me convert, translate kar sakte hai.  

  1    Google Translate

  2    Bing Translator

      Translatedict
 
  4     Translate.com


In sites me se sabse best site google translate ki site hai jaha par aap 100 se bhi jyada languages ko translate kar sakte hai.

Word translate kaise kare (language translation)


To yaha par ham aapko google transalate se language transalate karne ke bare me bata rahe hai. joki google ki website aur iske app se translate kiya ja sakta hai, aap apne jarurat anusar website aur application kisi ka bhi use kar sakte hai. to chaliye yaha ham dono ka method aapko bata rahe hai.



Google transalate ki website se translate kaise kare - 


  Step 1   Sabse pahle aap apne mobile ya computer laptop me koi bhi browser open karle jaise google chrome, website ka ek fayda ye hai aap ise computer laptop me bhi istemal kar sakte hai.

  Step 2   Ab browser me google translate type kar search kare.

Step - 3  Ab search list me pahle number par translate karne ka option aa jayega. jiske liye aapko site par bhi jane ki jarur nahi.

1) Detect language - yaha first blue color me detect language likha hoga. uspar click karke pahle us language ko select karle jisme type karna hai.

2) English - yaha par pahle se english language select hoga, to aapko english ke alawa koi aur language me translate karna hai. to aap yaha se click kar dusra language select kar sakte hai. aur english me hi karna hai to ise select rahne de.

Iske baad pahle wale box ke andar apna words likhe. to aap dekhenge niche wale box me sabd automatically dusre language me likh kar aa jayega. jaise aap niche screenshot me dekh sakte hai, maine hindi word अच्छा type kar use english me translate kiya to uska english me translation me Good likh kar aa aayega.

google translate search kar word transalate kare


Isi tarah aap hindi ko english. english ko hindi. Iske alawa aapke regional language jaise bangla, gujarati, kannada, malayalam, marathi, punjabi, sindhi, tamil, telugu, urdu jaise bharat ke pramukh bhasha ko bhi dusre bhasha me convert kar sakte hai. sath hi india ke alawa dusre country ke language bhi isme mil jayenge.

To is tarah aap kisi bhi internet browser se hi google translate search karke hi kisi bhi language ko koi dusri language me translate kar sakte hai. wo bhi aasan aur bahut kam samay me.


Type aur translate kiye huye word ko voice me kaise sune.

Aapne jo bhi type kiya hai aur translation me jo word aaya hai. use voice me sunna hai to aap dekhenge, type kiye hue word ke niche right side me aur same translation wale jagah ke niche ek voice icon dikhai dega. to aapko uspar click karna hai. iske baad jo bhi word hoga wah generated voice me sunai dega.

words ko sunne ke liye voice icon par click kare


To yah kafi interesting aur helpful tool ho skata hai, un logo ke liye jo aisi bhasa me translate kar rahe hai. jise padhne aur use bolne me dikkat ho. ya smajh me na aata ho. to yaha voice tool ki madad se aap us bhasa ka uchcharan bhi samjh payenge. jaise maanlo mujhe hindi aati hai lekin gujarati nahi to is audio tool ki madad se mujhe gujarati bhasha ko samjhne me kafi madad milegi.

Language ko fast exchange kaise kare.

Kuch mamlo me aisa ho sakta hai ki. jis language ko aapne kisi dusri language me translate kiya hai jaise hindi ko english. to ho sakta hai english ko hindi me bhi badalna chahe. to aise me aapko detect language aur translate language me jakar bhasa baar-baar badlne ki jarurat nahi. iske liye bas aapko bhasa choose karne ke bich me arrow ka icon hoga uspar click kare.

word exchange ke liye arrow icon par click kare


Isse hindi - english aur english - hindi me jab chahe ek click me badal sakte hai. isse aapka kafi time bachega. jo aapko har baar select karne ki jarurat nahi padegi.


Kisi 2 language ko select na kar sidhe search Kare

Kisi bhi language ko choose karne ya list se dhundhne me aane wali dikkat, ya usme lagne wala extra time ko is tarike se maintain kar sakte hai. jo mere hisab se kafi accha tarika hai.

To maanlo aapko hindi se english me translate karna hai. to simple google par search kare hindi to english iske baad pahle ki tarah search result me translate ka option aa jayega. to ab faayda ye hoga ki aapko hindi aur english language select karne ki jarurat nahi padegi. yaha par pahle se hindi aur english set hoga. usi tarah aap other languages ke liye bhi kar sakte hai.


Google translate ki website par kaise jaye

Agar aap site par jaakar hi language translation ka kary karna chahte hai. ya iska url address janna chahte hai. to simple browser me google par search kare. google translate iske baad search result me jo translate karne ka option aata hai. uske niche google translate ka website link hota hai, jiska url address https://translate.google.com se hoga. to aap ispar click karke site par jaake bhi same tarike se translation ka karya kar sakte hai.


Site par aapko faayda ye hai ki yaha par history, saved, aur community ka option bhi milta hai. jo aapke diff type ke work me helpful ho sakta hai.

Google transalte website url address




Google translate app download/install kaise kare.


Word translation ka karya browser me nahi karna chahte, to aap iske application par bhi kar sakte hai. jisme bahut sare features bhi milte hai. to iske liye android users play store par jaye, aur search kare google translate, iske baad install par click kare, 100% complete hone ke baad app ko open karke use kar sakte hai.

App download karne ke liye play store ka link niche de rahe hai. aap yaha se click karke sidhe download karne ke link par ja sakte hai.

Link - Google translate apk


Google transalate app se language translate kaise kare


  1. To sabse pahle google transalte app ko apne mobile me open karle.
  2. Iske baad primary language set karne ka option ayega to isme aap jo jyada transalte karenge wo 2 language set kare jaise hindi se english ya english se hindi jo aap chahe. set karne ke baad done par click kare.
  3. Iske baad aap translate karne wale page par aa jayenge to yahan bhi website ki tarah koi bhi word type kar translate to kar hi sakte hai sath hi bolkar bhi koi word type kar sakte hai.
  4. Iske alawa pen ke icon par click karke aap screen par likh kar bhi type kar sakte hai.
  5. Yaha par camera ka bhi bhi features diya gaya hai jiske jariye aap kahi par likhi gayi word ko camera se photo lekar translate kar sakte hai, aur isi features me upload karne ka bhi option diya gaya hai jisme phone me rakhe hue koi file photo ko upload kar transalte kar sakte hai.
  6. Iske alawa conversation ka bhi features milta hai iske jariye aap jo bhi bolenge wo dusri language me translate bhi hoga aur voice me bolkar bhi batayega.
  7. Yaha par transcribe ka bhi features diya gaya hai jisme aap bolte jayenge aur jo language me aap transalte karna chahenge wo transalte hota jayega, jo screen par type bhi hota jayega. 


To friends yaha aapne jana ki ham google translate ki madad se kisi bhi language ko koi dusri bhasa me translate kaise kare ke bare me. post acchi lage to share karna bhule.




1 comment: