Blogger blog me logo,design add kaise kare 2023

Share:

Is post me janenge blog me logo kaise lagaye Logo is naam ko to aapne suna hi hoga. aur iske bare me aap jante hi honge. ki logo kya hota hai. aur yah kisi bhi blog,website,business company ke liye kyu jaruri hai. agar aap abhi tak iske bare me nahi suna hai. ya nahi jaante ki logo kya hai. aur kyu jaruri hai. to mai aapko yaha par bata raha hu. aur blog me logo add kaise karte hai ye bhi ham dekhenge.


Blogger blog me logo,design add kaise kare



Logo kya hai? what is logo


Logo kisi blog,website, ya kisi business company ke dwara banaya gaya design hota hai. jisme us blog,website,company ka title name ya kisi bhi tarah ka extra design, symbol hota hai. ise ham us blog,website ya us company ki pahchan bhi bol sakte hai.

#niche image me aap hamari blog ka logo dekh sakte hai. 

webtohindi logo




Blog, website ke liye logo kyu jaruri hai.


Blog ho ya website ya koi business company logo sabhi ke liye bahut hi important hai. aap apne blog ko kitna bhi design karle agar usme usme logo nahi hai. to aap apne blog ka 10% traffick miss kar rahe hai. koi visitor jab aapke blog par pahli bar aata hai. to sabse pahle uski najar aapke site ke logo par hi padta hai agar logo accha hua to wah kisi bhi visitor ke upar ek alag chhap chhod jati hai. aur wah aapke blog par dobara aana chahega.


Blogger blog me logo kaise lagaye in hindi.


Agar aap apne site ka logo bana liya hai to ab dekhte hai ki use blog me kaise add karte hai. 

  1. Sabse pahle aap apne blogger blog ko open karle.
  2. Ab layout par click kare.
  3. Ab ek naya page dikhega. jisme bahut si widgets.settings honge jisme aapko Logo ya header name se ek widget hoga, usi me niche chota sa edit button hoga uspar click kare.

 

 
Blogger blog me logo kaise lagaye



 How to add logo in blogger blog

Configure Header.

Ab configure header name se new page open hoga jisme aapko..
  • 1.Show this widget - Sabse pahle ek option hoga show this widget ka jo pahle se on hoga, agar nahi hai to ispar click kar on karde.
  • 2 Blog Title - To is jagah blog ka title likhne ka option hoga jisme apne website ka name likhna hai, jo aapke blog me pahle hoga to kuch karne ki karne ki jarurat nahi.
  • 3 Blog Description - Blog ka description bhi aapne pahle se likh rakha hoga, jisme apne blog ke bare me batana hota hai, agar nahi likhe to yaha pe likh sakte hai.
  • 4 Select Image By - Ab yaha par aapko apna logo upload karna, to pahle upload image from computer wale option par click kare.
  • 5 Choose File - Iske baad aapko choose file par click kare, fir aapke computer ya mobile me storage ya gallery se jaha bhi aapne logo bana ke rakha hoga use click kar upload kare.
  • 6 Image Placement - isme aapko instead of title and description select karna hai.
  • 7 Shrink To Fit - Ab aapko shrink to fir par click karna hai.
  • 8 Save - And last save par click kare.
  • Iske baad aapka logo blog me add ho jayega apne blog ko open karke dekhe logo dikh raha hoga.
website me logo kaise lagaye




How to add or change logo in blogger website video






Ye bhi padhe:


Blogger ki kisi bhi post me dusri post ka link(URL) kaise add kare 





To friends ab aap apne blog par logo laga liya hoga. agar logo lagane me koi problem aati hai to hame comment karke puch sakte hai, aur aise hi blogging se related information ke liye regular hamare blog par visit karte rahte hai. to is article ko apne dosto ke sath share jarur kare.

No comments